nala-e-firaq
Interesting Fact
(In Memory of Arnold (Part I: Till 1905 (Bang Dara)- This poem was written by Iqbal in memory of his kind teacher Dr. Arnold. As Maulana Sayyad Mir Hasan kindled the love forPersion poetry in Iqbal, in the same way, Arnold also made Iqbal an admirer of philosophy.
jā basā maġhrib meñ āḳhir ai makāñ terā makīñ
aah! mashriq kī pasand aa.ī na us ko sarzamīñ
aa gayā aaj is sadāqat kā mire dil ko yaqīñ
zulmat-e-shab se ziyā-e-roz-e-furqat kam nahīñ
''tāz āġhosh-e-vidā'ish dāġh-e-hairat chīda ast
ham-chū sham-e-kushta dar-chashm-e-nigah ḳhvābīda ast''
kushta-e-uzlat huuñ ābādī meñ ghabrātā huuñ maiñ
shahr se saudā kī shiddat meñ nikal jaatā huuñ maiñ
yād-e-ayyām-e-salaf se dil ko taḌpātā huuñ maiñ
bahr-e-taskīñ terī jānib dauḌtā aatā huuñ maiñ
aañkh ko mānūs hai tere dar-o-dīvār se
ajnabiyyat hai magar paidā mirī raftār se
zarra mere dil kā ḳhurshīd-āshnā hone ko thā
aa.ina TuuTā huā ālam-numā hone ko thā
naḳhl merī ārzūoñ kā harā hone ko thā
aah! kyā jaane koī maiñ kyā se kyā hone ko thaa!
abr-e-rahmat dāman-az-gulzār-e-man barchīd-o-raft
añdkai bar-ġhuncha haa.e aarzū bārīd-o-raft
tū kahāñ hai ai kalīm-e-zarra-e-sīnā-e-ilm!
thī tirī mauj-e-nafas bād-e-nashāt-afzā-e-ilm
ab kahāñ vo shauq-e-rah-paimā.ī-e-sahrā-e-ilm
tere dam se thā hamāre sar meñ bhī saudā-e-ilm
''shor-e-lailā ko ki bāz-ārā.ish-e-saudā kunad
ḳhāk-e-majnūñ-rā ġhubār-e-ḳhātir-e-sahrā kunad''
khol degā dasht-e-vahshat uqda-e-tadīr ko
toḌ kar pahuñchūñgā maiñ punjab kī zanjīr ko
dekhtā hai dīda-e-hairāñ tirī tasvīr ko
kyā tasallī ho magar girvīda-e-taqrīr ko
''tāb-e-goyā.ī nahīñ rakhtā dahan tasvīr kā
ḳhāmushī kahte haiñ jis ko hai suḳhan tasvīr kaa''
ja basa maghrib mein aaKHir ai makan tera makin
aah! mashriq ki pasand aai na us ko sarzamin
aa gaya aaj is sadaqat ka mere dil ko yaqin
zulmat-e-shab se ziya-e-roz-e-furqat kam nahin
taz aaghosh-e-wida'ish dagh-e-hairat chida ast
ham-chu sham-e-kushta dar-chashm-e-nigah KHwabida ast
kushta-e-uzlat hun aabaadi mein ghabraata hun main
shahr se sauda ki shiddat mein nikal jata hun main
yaad-e-ayyam-e-salaf se dil ko taDpata hun main
bahr-e-taskin teri jaanib dauDta aata hun main
aankh ko manus hai tere dar-o-diwar se
ajnabiyyat hai magar paida meri raftar se
zarra mere dil ka KHurshid-ashna hone ko tha
aaina TuTa hua aalam-numa hone ko tha
naKHl meri aarzuon ka hara hone ko tha
aah! kya jaane koi main kya se kya hone ko tha!
abr-e-rahmat daman-az-gulzar-e-man barchid-o-raft
andkai bar-ghuncha hae aarzu barid-o-raft
tu kahan hai ai kalim-e-zarra-e-sina-e-ilm!
thi teri mauj-e-nafas baad-e-nashat-afza-e-ilm
ab kahan wo shauq-e-rah-paimai-e-sahra-e-ilm
tere dam se tha hamare sar mein bhi sauda-e-ilm
shor-e-laila ko ki baz-araish-e-sauda kunad
KHak-e-majnun-ra ghubar-e-KHatir-e-sahra kunad
khol dega dasht-e-wahshat uqda-e-tadir ko
toD kar pahunchunga main punjab ki zanjir ko
dekhta hai dida-e-hairan teri taswir ko
kya tasalli ho magar girwida-e-taqrir ko
tab-e-goyai nahin rakhta dahan taswir ka
KHamushi kahte hain jis ko hai suKHan taswir ka
- Book : Kulliyat-e-iqbal (Pg. 77)
- Author : Allama Mohd. Iqbal
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.