nam-e-KHumari
na āġhāz jis kā na anjām koī
usī be-nishāñ kā parastār huuñ maiñ
vahī jalva-afroz hai mere dil meñ
usī ke karam se ziyā-bār huuñ maiñ
ġharaz diin se hai na duniyā se matlab
nigāh-e-karam kā talabgār huuñ maiñ
mujhe mast rakhtī hai yaad us kī nānak
sharāb-e-mohabbat se sarshār huuñ maiñ
na aaghaz jis ka na anjam koi
usi be-nishan ka parastar hun main
wahi jalwa-afroz hai mere dil mein
usi ke karam se ziya-bar hun main
gharaz din se hai na duniya se matlab
nigah-e-karam ka talabgar hun main
mujhe mast rakhti hai yaad us ki nanak
sharab-e-mohabbat se sarshaar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.