nam
hazāroñ baras
pahle kī baat hai
ki jab maiñ kisī chiiz ko
kisī naam se bhī
nahīñ jāntā thā
to phir maiñ
har ik chiiz ko
naam dene lagā
magar aaj jab
maiñ ne ḳhud ko pukārā
to hairān huuñ
ki maiñ apne baare meñ
kuchh bhī nahīñ jāntā huuñ
mirā naam kyā hai
maiñ kaun huuñ
hazaron baras
pahle ki baat hai
ki jab main kisi chiz ko
kisi nam se bhi
nahin jaanta tha
to phir main
har ek chiz ko
nam dene laga
magar aaj jab
main ne KHud ko pukara
to hairan hun
ki main apne bare mein
kuchh bhi nahin jaanta hun
mera nam kya hai
main kaun hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.