nam ka patthar
sadr darvāze pe ik naam kā patthar hai abhī
lauh-e-marmar pe hai ye naam jalī harfoñ meñ
mere daadā se hai ye naam jalī harfoñ meñ
ye havelī, ye sin-o-sāl kī ta.amīr qadam
is meñ kuchh log rahā karte the
aaj tak saa.e yahāñ un ke phirā karte haiñ
dil ko har baar gumāñ hotā hai
mere maañ baap, mire bhaa.ī bahan
rauzanoñ se na kahīñ jhāñk rahe hoñ mujh ko
us se vābasta haiñ kitnī bāteñ
shādiyāñ us meñ rachā.ī ga.īñ, shahnā.ī bajī
log ikaTThe hue pakvān lage
aur haañ us se janāze bhī uThe
dard-mandoñ kii, azā-dāroñ kī
marne vaale ke liye
āh-o-zārī kī sadā.eñ gaūñjīñ
duur uftāda laḌakpan kī pukār
umr kī khoī huī rāhoñ se
khīñch laa.ī hai mujhe
ek makḌī kī tarah
sadr darwaze pe ek nam ka patthar hai abhi
lauh-e-marmar pe hai ye nam jali harfon mein
mere dada se hai ye nam jali harfon mein
ye haweli, ye sin-o-sal ki tamir qadam
is mein kuchh log raha karte the
aaj tak sae yahan un ke phira karte hain
dil ko har bar guman hota hai
mere man bap, mere bhai bahan
rauzanon se na kahin jhank rahe hon mujh ko
us se wabasta hain kitni baaten
shadiyan us mein rachai gain, shahnai baji
log ikaTThe hue pakwan lage
aur han us se janaze bhi uThe
dard-mandon ki, aza-daron ki
marne wale ke liye
aah-o-zari ki sadaen gaunjin
dur uftada laDakpan ki pukar
umr ki khoi hui rahon se
khinch lai hai mujhe
ek makDi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.