nana ki banduq
aslī jāpānī do naalī
naanā kī bandūq nirālī
kanda is kā maT-mailā sā
ruup Darāvnā sūrat kaalī
naanā jī is ke rasiyā the
naanī thī is kī matvālī
lete the is se jo nishāna
jaatā thā vo aksar ḳhālī
chiḌiyoñ kā jiinā dūbhar thā
chhuptī thiiñ vo Daalī Daalī
naanā jī ik roz ga.e the
dekhne jab mela vaishālī
naanī ko samjhā ke ga.e the
karnī thī is kī rakhvālī
saarī raat guzārī bāhar
mele kī thī shaan nirālī
ghar par raat ko Daaku aa.e
toḌ ke raushan-dān kī jaalī
naanī ko pistaul dikhā kar
le bhāge bandūq kamālī
shor machātī pīchhe dauḌīñ
vo thiiñ diler baḌī dil vaalī
hallā sun kar log bhī dauḌe
le kar ballam aur bhujālī
chor hue tab nau do gyārah
chhoḌ ga.e bandūq misālī
naanā ke ghar isī ḳhushī meñ
agle roz manī dīvālī
naanī jī ne isī ḳhushī meñ
ghar ghar bhejī khiir kī thālī
asli japani do nali
nana ki banduq nirali
kanda is ka maT-maila sa
rup Darawna surat kali
nana ji is ke rasiya the
nani thi is ki matwali
lete the is se jo nishana
jata tha wo aksar KHali
chiDiyon ka jina dubhar tha
chhupti thin wo Dali Dali
nana ji ek roz gae the
dekhne jab mela waishaali
nani ko samjha ke gae the
karni thi is ki rakhwali
sari raat guzari bahar
mele ki thi shan nirali
ghar par raat ko Daku aae
toD ke raushan-dan ki jali
nani ko pistaul dikha kar
le bhage banduq kamali
shor machati pichhe dauDin
wo thin diler baDi dil wali
halla sun kar log bhi dauDe
le kar ballam aur bhujali
chor hue tab nau do gyarah
chhoD gae banduq misali
nana ke ghar isi KHushi mein
agle roz mani diwali
nani ji ne isi KHushi mein
ghar ghar bheji khir ki thaali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.