nani ka pandan
Interesting Fact
(Monthly: Masarrat, October, 1967)
duniyā meñ be-misāl hai naanī kā pandān
vābasta us kī zaat se hai ek dāstān
peñdā alag hai jis se bañdhā ek taar hai
sar-posh kā bhī biich se sīna-figār hai
ashyā-e-ḳhurdanī kī bhī is meñ qatār hai
naanī ko is se shaġhl meñ lutf-e-bahār hai
mumkin nahīñ ki is se judā hoñ vo ek aan
duniyā meñ be-misāl hai naanī kā pandān
katthe meñ Duubī dekhiye rāshan kī hai rasīd
aksar isī meñ noToñ kī miTTī huī palīd
paisoñ kī poTlī bhī mile is meñ kyā ba.iid
is kā vajūd sab ke liye hai bahut mufīd
vāqif hai us ke jauhar-e-zātī se ḳhāndān
duniyā meñ be-misāl hai naanī kā pandān
kulhiyoñ ke badle chīnī ke TuuTe piyāle haiñ
kāfūr hiiñg soñf pachīsoñ masāle haiñ
bīsoñ baras ke chand purāne risāle haiñ
kuchh khet kī rasīdeñ haiñ phaTe qabāle haiñ
naanā ke kuchh ḳhutūt baḌhāte haiñ is kī shaan
duniyā meñ be-misāl hai naanī kā pandān
bastī ke sab buzurg bhī mil baiTheñ gar baham
mushkil se is kī umr koī kar sake raqam
itnī sī baat hai jo 'zakī' jānte haiñ ham
naanī jise sunātī haiñ aksar ba-chashm-e-nam
naanī kī naanī ne bhī lagā.e the is se paan
duniyā meñ be-misāl hai naanī kā pandān
duniya mein be-misal hai nani ka pandan
wabasta us ki zat se hai ek dastan
penda alag hai jis se bandha ek tar hai
sar-posh ka bhi bich se sina-figar hai
ashya-e-KHurdani ki bhi is mein qatar hai
nani ko is se shaghl mein lutf-e-bahaar hai
mumkin nahin ki is se juda hon wo ek aan
duniya mein be-misal hai nani ka pandan
katthe mein Dubi dekhiye rashan ki hai rasid
aksar isi mein noTon ki miTTi hui palid
paison ki poTli bhi mile is mein kya baid
is ka wajud sab ke liye hai bahut mufid
waqif hai us ke jauhar-e-zati se KHandan
duniya mein be-misal hai nani ka pandan
kulhiyon ke badle chini ke TuTe piyale hain
kafur hing sonf pachison masale hain
bison baras ke chand purane risale hain
kuchh khet ki rasiden hain phaTe qabaale hain
nana ke kuchh KHutut baDhate hain is ki shan
duniya mein be-misal hai nani ka pandan
basti ke sab buzurg bhi mil baiThen gar baham
mushkil se is ki umr koi kar sake raqam
itni si baat hai jo 'zaki' jaante hain hum
nani jise sunati hain aksar ba-chashm-e-nam
nani ki nani ne bhi lagae the is se pan
duniya mein be-misal hai nani ka pandan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.