naraazgi
merī jaañ tumhārī ye nārāzgī mere siine meñ chubhte hue kab mirī zindagī ko nigal jā.egī is kā koī bharosa nahīñ hai
mire dostoñ kī nashisteñ to aisī kabhī bhī nahīñ thiiñ
ki gar saath baiTheñ to daarū kī botal ke khulne kī naubat bhī ho
ye ajab bhī nahīñ hai ki maiñ āj-kal mere marne kī jaldī meñ piine lagā huuñ
ajab to ye hai merī kaTtī huī umr baaqī bachī umr kī fikr meñ kab guzarne lagī ye pata tab chalā jab tire faisle merī marzī se yaksar judā tai hue
jab mire chāhne vaale kahne lage bas bahut ho chukā ye bachī rum hamāre liye aa.ī hai jaao kamre meñ jaao davā.ī piyo
umr shāyad kisī zindagī se kisī maut tak kā bhayānak safar hai jo ek hī zamān-o-makāñ meñ Thahar kar hī kaT jā.egā
is meñ apnī jagah mutma.in rah sako to ye rasta bhī pairoñ ke nīche se ḳhud hī sarak jā.egā
umr shāyad koī jāgte haal kā āfrīñ ḳhvāb hai jis meñ rahte hue aañkh thak jā.egī aur phir bistar-e-marg par jā ke so jā.egī
aañkh khul jā.egī maut ho jā.egī
ab maiñ āḳhir jo marne kī sūrat pe huuñ
to maiñ ye sochtā huuñ ki maiñ merī fitrat ko zinda rakhūñ
ya.anī jaisā thā maiñ ab maiñ vaisā rahūñ
terī nārāzgī bhī kabhī kam na ho
umr jitnī bachī hai vo ghaTtī rahe
merī kaTtī rahe
meri jaan tumhaari ye naraazgi mere sine mein chubhte hue kab meri zindagi ko nigal jaegi is ka koi bharosa nahin hai
mere doston ki nashisten to aisi kabhi bhi nahin thin
ki gar sath baiThen to daru ki botal ke khulne ki naubat bhi ho
ye ajab bhi nahin hai ki main aaj-kal mere marne ki jaldi mein pine laga hun
ajab to ye hai meri kaTti hui umr baqi bachi umr ki fikr mein kab guzarne lagi ye pata tab chala jab tere faisle meri marzi se yaksar juda tai hue
jab mere chahne wale kahne lage bas bahut ho chuka ye bachi rum hamare liye aai hai jao kamre mein jao dawai piyo
umr shayad kisi zindagi se kisi maut tak ka bhayanak safar hai jo ek hi zaman-o-makan mein Thahar kar hi kaT jaega
is mein apni jagah mutmain rah sako to ye rasta bhi pairon ke niche se KHud hi sarak jaega
umr shayad koi jagte haal ka aafrin KHwab hai jis mein rahte hue aankh thak jaegi aur phir bistar-e-marg par ja ke so jaegi
aankh khul jaegi maut ho jaegi
ab main aaKHir jo marne ki surat pe hun
to main ye sochta hun ki main meri fitrat ko zinda rakhun
yani jaisa tha main ab main waisa rahun
teri naraazgi bhi kabhi kam na ho
umr jitni bachi hai wo ghaTti rahe
meri kaTti rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.