Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nashte ki mez par

Iqtidar Javed

nashte ki mez par

Iqtidar Javed

MORE BYIqtidar Javed

    palak-navāz būḌhe vāldain nigāh

    ahl-e-ḳhāndān par paḌe

    to duur ufuq ghāTiyoñ se

    sub.h

    apne rang-o-nūr se ladī-phañdī nikal paḌe

    makāñ jahāñ muqīm būḌhe vāldain hoñ

    vahāñ ruke

    ruke to apnā sone jaisā ruup us makāñ pe vaar de

    makāñ ke saare zang ko utaar de

    ye log to 'azīm shahr haiñ

    'azīm shahr qadīm andarūn haiñ

    yahāñ vahāñ thaḌe haiñ

    jin pe log baiTh kar

    tamām din raakh ko uḌā sakeñ

    zarā hañs sakeñ

    zarā apne aap ko rulā sakeñ

    ye log to sarā.e kalīd haiñ

    jahāñ pe duniyā vaale ik sukūñ raat kaaT leñ

    jo chāroñ or ghertā hai vo muhīt paaT leñ

    ye log to ḳhalā saql haiñ

    falak rang haiñ

    agar na in saath ho

    na dhuup ho kiran-bharī

    falak na nīl-rang ho

    ye kaun haiñ

    ki jin 'itr se bharī havā

    ki jin 'itr se bharā vujūd 'aks-rez hai

    kahāñ se aa rahī haiñ

    arġhanūn dhuneñ

    ye arġhavānī baaġh hai ki

    nāshte mez hai

    nazār kam-badan

    jo ek qaash sañgtare nāshte mez se uThā.eñ

    to phaloñ meñ ras paḌe

    jo dhīre se zarā muskurā.eñ

    saarā ḳhāndān hañs paḌe

    palak-nawaz buDhe waldain ki nigah

    ahl-e-KHandan par paDe

    to dur ufuq ki ghaTiyon se

    subh

    apne rang-o-nur se ladi-phandi nikal paDe

    makan jahan muqim buDhe waldain hon

    wahan ruke

    ruke to apna sone jaisa rup us makan pe war de

    makan ke sare zang ko utar de

    ye log to 'azim shahr hain

    'azim shahr ka qadim andarun hain

    yahan wahan thaDe hain

    jin pe log baiTh kar

    tamam din ki rakh ko uDa saken

    zara sa hans saken

    zara sa apne aap ko rula saken

    ye log to sarae ki kalid hain

    jahan pe duniya wale ek sukun ki raat kaT len

    jo chaaron or gherta hai wo muhit paT len

    ye log to KHala ki saql hain

    falak ka rang hain

    agar na in ka sath ho

    na dhup ho kiran-bhari

    falak na nil-rang ho

    ye kaun hain

    ki jin ki 'itr se bhari hawa

    ki jin ka 'itr se bhara wujud 'aks-rez hai

    kahan se aa rahi hain

    arghanun ki dhunen

    ye arghawani bagh hai ki

    nashte ki mez hai

    nazar kam-badan

    jo ek qash sangtare ki nashte ki mez se uThaen

    to phalon mein ras paDe

    jo dhire se zara muskuraen

    sara KHandan hans paDe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now