nasur
sāhab-e-sarvat agar shā'ir nahīñ to ġham nahīñ
shā'iroñ meñ is ko likh kar dene vaale kam nahīñ
note kar ke ḳharch kuchh dīvān ik likhvā.iye
aur naamī publisher se us ko phir chhapvā.iye
she'r paḌhiye yuuñ ki har ik she'r par itrā.iye
niilī piilī Diary har bazm meñ lahrā.iye
kaif-o-mastī is tarah lahje meñ paidā kījiye
lab-kushā hone se pahle paak sharbat pījiye
ye bhī lāzim hai ki mat kiije ziyāda guftugū
taaki ahl-e-'ilm-o-dānish meñ na hoñ be-ābrū
aap ko zar ke 'evaz mad.h-sarā mil jā.eñge
aap kā vo jashn hogā ahl-e-fan hil jā.eñge
ik baḌe sāhib sadārat ke liye haiñ dastyāb
kyūñki p T v meñ ab jaarī nahīñ hai un kī job
achchhe dībācha-faroshoñ kī nahīñ koī kamī
aap ko degī numū in sab ke lafzoñ kī namī
mahñge hotel meñ qalam-kāroñ ko dā'vat dījiye
nāqidoñ se ḳhaas darje kī mohabbat kījiye
rū-numā.ī kījiye aisī ki duniyā dang ho
lāzmī ye hai bikā.ū media bhī sang ho
aap kī ġhazloñ meñ 'umda shā'iroñ kā rang ho
aap ke sarqa-shuda ash'ār par bhī jang ho
mustaqil she'rī jarā.id kī ḳharīdārī kareñ
taaki vo bhī ḳhaas number aap kā jaarī kareñ
apne ḳharche par manā.eñ shaam apne naam kī
aap kī daulat vagarna aap ke kis kaam kī
chhap ga.e do chaar majmū'e agar ik saal meñ
maan leñge aap ko shā'ir sabhī har haal meñ
tazkira vāsif ne likkhā hai kisī nāsūr kā
is ko mat qissa samajhiye shā'ir-e-mash.hūr kā
sahab-e-sarwat agar sha'ir nahin to gham nahin
sha'iron mein is ko likh kar dene wale kam nahin
note kar ke KHarch kuchh diwan ek likhwaiye
aur nami publisher se us ko phir chhapwaiye
she'r paDhiye yun ki har ek she'r par itraiye
nili pili Diary har bazm mein lahraiye
kaif-o-masti is tarah lahje mein paida kijiye
lab-kusha hone se pahle pak sharbat pijiye
ye bhi lazim hai ki mat kije ziyaada guftugu
taki ahl-e-'ilm-o-danish mein na hon be-abru
aap ko zar ke 'ewaz madh-sara mil jaenge
aap ka wo jashn hoga ahl-e-fan hil jaenge
ek baDe sahib sadarat ke liye hain dastyab
kyunki p T w mein ab jari nahin hai un ki job
achchhe dibacha-faroshon ki nahin koi kami
aap ko degi numu in sab ke lafzon ki nami
mahnge hotel mein qalam-karon ko da'wat dijiye
naqidon se KHas darje ki mohabbat kijiye
ru-numai kijiye aisi ki duniya dang ho
lazmi ye hai bikau media bhi sang ho
aap ki ghazlon mein 'umda sha'iron ka rang ho
aap ke sarqa-shuda ash'ar par bhi jang ho
mustaqil she'ri jaraid ki KHaridari karen
taki wo bhi KHas number aap ka jari karen
apne KHarche par manaen sham apne nam ki
aap ki daulat wagarna aap ke kis kaam ki
chhap gae do chaar majmu'e agar ek sal mein
man lenge aap ko sha'ir sabhi har haal mein
tazkira wasif ne likkha hai kisi nasur ka
is ko mat qissa samajhiye sha'ir-e-mashhur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.