nazan na ho diwane
uḌte hue panchhī par
bahte hue dariyā par
āzād taḳhayyul par
phūloñ kī mahak par bhī
ġhunchoñ kī chaTak par bhī
kaliyoñ ke tabassum par
shabnam kī tajallī par
sho'le kī lapak par bhī
uḌtī huī ḳhushbū par
har husn ke dhāre par
mā'sūm ishāre par
lahke hue bādal par
ḳhāmosh fazāoñ par
mad.hosh havāoñ par
ḳhvāboñ ke gulistāñ par
nāzāñ na ho dīvāne
apne hoñ ki begāne
uDte hue panchhi par
bahte hue dariya par
aazad taKHayyul par
phulon ki mahak par bhi
ghunchon ki chaTak par bhi
kaliyon ke tabassum par
shabnam ki tajalli par
sho'le ki lapak par bhi
uDti hui KHushbu par
har husn ke dhaare par
ma'sum ishaare par
lahke hue baadal par
KHamosh fazaon par
madhosh hawaon par
KHwabon ke gulistan par
nazan na ho diwane
apne hon ki begane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.