nadamat hi nadamat
raat ke me.ade meñ kaarī zahr hai jaltā hai jis se tan badan merā
maiñ kab se chīḳhtā huuñ dard se chillātā phirtā huuñ
tashaddud ḳhauf dahshat barbariyat
aur muġhalliz raat kī rānoñ meñ shahvat
ek kaalā phuul bantī hai
shahvat jāgtī hai ghūrtī hai surḳh āñkhoñ se
vo chehre nochtī khātī hai apne tund jabḌoñ se
ye kaisā zahr hai jo phailtā jaatā hai me.ade meñ
ye kaarī zahr hai jo raat ke me.ade se Tapkā hai
tashaddud ḳhauf dahshat barbariyat
raat ke kaale sitam-gar siyāh māthe par
nadāmat hī nadāmat hai
raat ke meade mein kari zahr hai jalta hai jis se tan badan mera
main kab se chiKHta hun dard se chillata phirta hun
tashaddud KHauf dahshat barbariyat
aur mughalliz raat ki ranon mein shahwat
ek kala phul banti hai
shahwat jagti hai ghurti hai surKH aankhon se
wo chehre nochti khati hai apne tund jabDon se
ye kaisa zahr hai jo phailta jata hai meade mein
ye kari zahr hai jo raat ke meade se Tapka hai
tashaddud KHauf dahshat barbariyat
raat ke kale sitam-gar siyah mathe par
nadamat hi nadamat hai
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.