nadamat
jis ke jhūTe pyaar pe ham ne
sachchā.ī ke saare naġhme
saare qisse
us ke paañv pe lā rakkhe
lekin
us kī fitrat ke harjā.ī-pan se
jo kuchh hameñ mayassar aayā
us kā kyā ahvāl sunā.eñ
kaise māh-o-sāl batā.eñ
ḳhud se hī sharminda haiñ
saare sapne TuuT ga.e
dekho phir bhī zinda haiñ
jis ke jhuTe pyar pe hum ne
sachchai ke sare naghme
sare qisse
us ke panw pe la rakkhe
lekin
us ki fitrat ke harjai-pan se
jo kuchh hamein mayassar aaya
us ka kya ahwal sunaen
kaise mah-o-sal bataen
KHud se hi sharminda hain
sare sapne TuT gae
dekho phir bhi zinda hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.