nadi ki fariyaad
ye gandagī hai kaisī aa.ī hai ye kahāñ se
shahroñ kī ye ġhalāzat aa.ī hai kaise bah ke
dam ghuT rahā hai merā badbū hai jaan levā
girtā hai mujh meñ aa ke shahroñ kā ganda naala
pākīza mujh ko kar do kar ke mirī safā.ī
merā bhī fā.eda hai insāñ kī bhī bhalā.ī
tum mujh ko saaf rakh ke ḳhud bhī sukhī rahoge
paanī jo saaf hogā bīmārī se bachoge
fariyād be-navā kī suntā nahīñ hai koī
samjhe jo mere dukh ko aisā nahīñ hai koī
is gandagī se logo jaldī mujhe nikālo
ye nek kaam kar ke māhaul ko bachā lo
ye gandagi hai kaisi aai hai ye kahan se
shahron ki ye ghalazat aai hai kaise bah ke
dam ghuT raha hai mera badbu hai jaan lewa
girta hai mujh mein aa ke shahron ka ganda nala
pakiza mujh ko kar do kar ke meri safai
mera bhi faeda hai insan ki bhi bhalai
tum mujh ko saf rakh ke KHud bhi sukhi rahoge
pani jo saf hoga bimari se bachoge
fariyaad be-nawa ki sunta nahin hai koi
samjhe jo mere dukh ko aisa nahin hai koi
is gandagi se logo jaldi mujhe nikalo
ye nek kaam kar ke mahaul ko bacha lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.