nadi ko dekh kar
nadī ke haal ko
ab dekh kar afsos hotā hai
nadī kā ek maazī thā
na jaane kitnī tārīḳhī kitāboñ meñ
nadī kī ahmiyat ke
an-ginat abvāb raushan haiñ
nadī tahzīb kā maskan rahī hai
isī kī mauj ne
āġhāz meñ insān ko
vāqif karāyā
irtiqā.ī marhaloñ se
isī ke saaf aur shaffāf paanī ne
yugoñ tak
muḳhtalif nasloñ kī
dil se ābiyārī kī
isī kī chīḳhtī chiñghāḌtī lahroñ pe
ġhalba pā ke insāñ ne
taraqqī kī
magar andhī taraqqī ne
nadī kī shakl
itnī masḳh kar Daalī
ki āñkhoñ ko kisī sūrat
yaqīñ aatā nahīñ
jo kuchh nazar ke sāmne hai
vo haqīqat hai
gande badbū-dār naale kī tarah jo
bah rahī hai
yahī to vo nadī hai
tazkire jis ke kitāboñ meñ bhare haiñ
kitnī tahzīboñ kā jo maskan rahī hai
nadī ke haal kā jab jā.eza
letī haiñ nazreñ
to bahut afsos hotā hai
nadi ke haal ko
ab dekh kar afsos hota hai
nadi ka ek mazi tha
na jaane kitni tariKHi kitabon mein
nadi ki ahmiyat ke
an-ginat abwab raushan hain
nadi tahzib ka maskan rahi hai
isi ki mauj ne
aaghaz mein insan ko
waqif karaya
irtiqai marhalon se
isi ke saf aur shaffaf pani ne
yugon tak
muKHtalif naslon ki
dil se aabiyari ki
isi ki chiKHti chinghaDti lahron pe
ghalba pa ke insan ne
taraqqi ki
magar andhi taraqqi ne
nadi ki shakl
itni masKH kar Dali
ki aankhon ko kisi surat
yaqin aata nahin
jo kuchh nazar ke samne hai
wo haqiqat hai
gande badbu-dar nale ki tarah jo
bah rahi hai
yahi to wo nadi hai
tazkire jis ke kitabon mein bhare hain
kitni tahzibon ka jo maskan rahi hai
nadi ke haal ka jab jaeza
leti hain nazren
to bahut afsos hota hai
- Book : Geet Sunati hai hawa (Poetry) (Pg. 134)
- Author : Rashid Anwar Rashid
- Publication : Arshia Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.