Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nadiyan KHushk hain

Shahid Ahmad Shoaib

nadiyan KHushk hain

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    nadiyāñ

    ḳhushk haiñ

    ret ne marsiyoñ ke ḳhazāne luTā.e

    pattharoñ ne sunā.e

    ajab ātishīñ raag

    sākit havāoñ ko

    aur nazar

    be-hisī ke samundar meñ

    phir ġharq hone lagī hai

    magar

    ye ġhalat hai ki maiñ

    ḳhushk in nadiyoñ pattharoñ aur sākit havāoñ

    maarā huā huuñ

    mujhe merī miTTī ko

    aise anāsir mile haiñ

    jo merī tarah haiñ

    mire saath

    mere jaise anāsir ik kārvāñ hai

    agar har-nafas ātishīñ hai

    to kyā hai

    mire jism-o-jāñ ko

    bahut kuchh milā hai

    nadiyan

    KHushk hain

    ret ne marsiyon ke KHazane luTae

    pattharon ne sunae

    ajab aatishin rag

    sakit hawaon ko

    aur nazar

    be-hisi ke samundar mein

    phir gharq hone lagi hai

    magar

    ye ghalat hai ki main

    KHushk in nadiyon pattharon aur sakit hawaon

    ka mara hua hun

    mujhe meri miTTi ko

    aise anasir mile hain

    jo meri tarah hain

    mere sath

    mere hi jaise anasir ka ek karwan hai

    agar har-nafas aatishin hai

    to kya hai

    mere jism-o-jaan ko

    bahut kuchh mila hai

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now