nae KHauf ka aazar
mehrbāñ din vo mirā dard-shanās
apnī zambīl ke sad-rañg zaḳhīre se mujhe
roz detā rahā sauġhāt na.ī
mujh pe kartā rahā har roz ināyāt na.ī
dil ko barmātā rahā
ḳhuuñ ko garmātā rahā
aa.ī jis vaqt magar raat na.ī
apnā sarmāya sameTe hue mastūr huā
dil mirā faiz-e-gurezāñ se shikasta-ḳhātir
shab ke zindāñ meñ giraftār
ġharīb-o-nādār
ik na.e ḳhauf ke āzār se ma.amūr huā
mehrban din wo mera dard-shanas
apni zambil ke sad-rang zaKHire se mujhe
roz deta raha saughat nai
mujh pe karta raha har roz inayat nai
dil ko barmata raha
KHun ko garmata raha
aai jis waqt magar raat nai
apna sarmaya sameTe hue mastur hua
dil mera faiz-e-gurezan se shikasta-KHatir
shab ke zindan mein giraftar
gharib-o-nadar
ek nae KHauf ke aazar se mamur hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.