nae sal ki aamad par
phir na.e saal kī aamad hai nayā jaam chale
phir barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
mere kamre meñ calender jo na.e saal kā āvezāñ hai
nazar aatā hai guzishta kī tarah
vahī uljhe hue hālāt vahī mahñgā.ī
hai vahī tishna-labī aur vahī tanhā.ī
na mohabbat na muravvat na vafā ke āsār
ādamiyyat ke taqāze na sadāqat kī phaban
jis tarah ātish-e-imroz meñ jaltī tasvīr
jaise kajlā.ī huī dast-e-hinā.ī kī lakīr
mere kamre meñ calender jo na.e saal kā āvezāñ hai
nazar aatā hai guzishta kī tarah
ek manzar jo suhānā hai vo phaile to sahī
raaj ḳhushiyoñ kā ho chehroñ pe masarrat chamke
ghar ke āñgan meñ mohabbat kā koī gul mahke
aur shā.ir kā qalam ek qasīda likkhe
jis kā har lafz ho āġhāz-e-masarrat kī naved
Thiik hai ham bhī na.e saal kā naqsha dekheñ
bāb-dar-bāb koī ḳhvāb-e-tamannā dekheñ
mere kamre meñ calender jo na.e saal kā āvezāñ hai
ḳhud tamāsha hai tamāshā.ī bhī
phir nae sal ki aamad hai naya jam chale
phir barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
mere kamre mein calender jo nae sal ka aawezan hai
nazar aata hai guzishta ki tarah
wahi uljhe hue haalat wahi mahngai
hai wahi tishna-labi aur wahi tanhai
na mohabbat na murawwat na wafa ke aasar
aadamiyyat ke taqaze na sadaqat ki phaban
jis tarah aatish-e-imroz mein jalti taswir
jaise kajlai hui dast-e-hinai ki lakir
mere kamre mein calender jo nae sal ka aawezan hai
nazar aata hai guzishta ki tarah
ek manzar jo suhana hai wo phaile to sahi
raj KHushiyon ka ho chehron pe masarrat chamke
ghar ke aangan mein mohabbat ka koi gul mahke
aur shair ka qalam ek qasida likkhe
jis ka har lafz ho aaghaz-e-masarrat ki nawed
Thik hai hum bhi nae sal ka naqsha dekhen
bab-dar-bab koi KHwab-e-tamanna dekhen
mere kamre mein calender jo nae sal ka aawezan hai
KHud tamasha hai tamashai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.