nae sal ki dua
ai na.e saal
tū phir mere nagar meñ aaya
ḳhair-maqdam hai terā
ai na.e saal
magar ye to batā
nafratoñ kā koī gul phir to khilā.egā nahīñ
be-gunāhoñ kā lahū phir to bahā.egā nahīñ
ai na.e saal
tujhe raam kī siitā kī qasam
'mariyam' o 'iisā kī qasam
phir koī ghar na ujaḌne paa.e
sādgī gaañv kī miTTī meñ na milne paa.e
shahr kī god meñ sannāTā na palne paa.e
phir kisī maañ kī na ho māmtā zaḳhmī
na bahan se koī bhaa.ī bichhḌe
chūḌiyāñ saarī suhāgan kī salāmat rakhnā
ai na.e saal
ḳhushī 'iid kī mātam meñ na badle ab ke
koī jamshed-nagar phir na dhuāñ dene lage
phir sulagne na lage zulm-o-'adāvat kī chitā
ai na.e saal agar ab ke bhī
aag aur ḳhuun kī holī hogī
to samajh le koī
ḳhair-maqdam na karegā terā
nām-levā bhī na hogā terā
aur shahnā.ī na gūñjegī kahīñ
kahīñ jaykār kī āvāz nahīñ ubhregī
phir na shahroñ ko sajā.egā koī
tere phir giit na gā.egā koī
ai na.e saal
faqat itnī tamanna hai mirī
apne dāman ko masarrat se basā.e rakhnā
rang se nuur se phūloñ se sajā.e rakhnā
aur har dil meñ
mohabbat ke charāġhoñ ko jalā.e rakhnā
ai nae sal
tu phir mere nagar mein aaya
KHair-maqdam hai tera
ai nae sal
magar ye to bata
nafraton ka koi gul phir to khilaega nahin
be-gunahon ka lahu phir to bahaega nahin
ai nae sal
tujhe ram ki sita ki qasam
'mariyam' o 'isa ki qasam
phir koi ghar na ujaDne pae
sadgi ganw ki miTTi mein na milne pae
shahr ki god mein sannaTa na palne pae
phir kisi man ki na ho mamta zaKHmi
na bahan se koi bhai bichhDe
chuDiyan sari suhagan ki salamat rakhna
ai nae sal
KHushi 'id ki matam mein na badle ab ke
koi jamshed-nagar phir na dhuan dene lage
phir sulagne na lage zulm-o-'adawat ki chita
ai nae sal agar ab ke bhi
aag aur KHun ki holi hogi
to samajh le koi
KHair-maqdam na karega tera
nam-lewa bhi na hoga tera
aur shahnai na gunjegi kahin
kahin jaykar ki aawaz nahin ubhregi
phir na shahron ko sajaega koi
tere phir git na gaega koi
ai nae sal
faqat itni tamanna hai meri
apne daman ko masarrat se basae rakhna
rang se nur se phulon se sajae rakhna
aur har dil mein
mohabbat ke charaghon ko jalae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.