nae sal ki pahli nazm
andeshoñ ke darvāzoñ par
koī nishān lagātā hai
aur rātoñ raat tamām gharoñ par
vahī siyāhī phir jaatī hai
dukh kā shab ḳhuuñ roz adhūrā rah jaatā hai
aur shanāḳht kā lamha bīttā jaatā hai
maiñ aur merā shahr-e-mohabbat
tārīkī kī chādar oḌhe
raushnī kī aahaT par kaan lagā.e kab se baiThe haiñ
ghoḌoñ kī Tāpoñ ko sunte rahte haiñ
had-e-samā.at se aage jaane vaalī āvāzoñ ke resham se
apnī rū-e-siyāh pe taare kāḌhte rahte haiñ
añgushtā ne ik ik kar ke chhalnī hone ko aa.e
ab baarī añgusht-e-shahādat kī aane vaalī hai
sub.h se pahle vo kaTne se bach jaa.e to!
andeshon ke darwazon par
koi nishan lagata hai
aur raaton raat tamam gharon par
wahi siyahi phir jati hai
dukh ka shab KHun roz adhura rah jata hai
aur shanaKHt ka lamha bitta jata hai
main aur mera shahr-e-mohabbat
tariki ki chadar oDhe
raushni ki aahaT par kan lagae kab se baiThe hain
ghoDon ki Tapon ko sunte rahte hain
had-e-samaat se aage jaane wali aawazon ke resham se
apni ru-e-siyah pe tare kaDhte rahte hain
angushta ne ek ek kar ke chhalni hone ko aae
ab bari angusht-e-shahadat ki aane wali hai
subh se pahle wo kaTne se bach jae to!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.