nae samay ki koyal
phail rahī hai chāroñ jānib
na.e samay kī sundar ḳhushbū
aane vaale kal kī qismat
na maiñ jānūñ na jaane tū
sabza rañgat titlī jugnū
jaane kab se chamak rahe haiñ
peḌ kī har ik shāḳh pe aañsū
aur is peḌ kī ik Daalī par
koyal kartī jaa.e kū kū
koyal kartī jaa.e kū kū
dekhtī jaa.e yūñhī har sū
vaqt ko jaate dekh rahī hai
aur ye baiThī soch rahī hai
guzre saal ne kyā baḳhshā hai
agle samay meñ kyā likkhā hai
pichhle saal ke bāshinde to
ab bhī sazā.eñ kaaT rahe haiñ
ik duuje ke sog meñ baiThe
apne lahū ko chaaT rahe haiñ
dekheñ agle saal meñ kyā ho
peḌ kī shāḳhoñ par kyā hogā
shabnam taare jugnū aañsū
koyal baiThī soch rahī hai
vaqt ko jaate dekh rahī hai
koyal kartī jaa.e kū kū
phail rahi hai chaaron jaanib
nae samay ki sundar KHushbu
aane wale kal ki qismat
na main jaanun na jaane tu
sabza rangat titli jugnu
jaane kab se chamak rahe hain
peD ki har ek shaKH pe aansu
aur is peD ki ek Dali par
koyal karti jae ku ku
koyal karti jae ku ku
dekhti jae yunhi har su
waqt ko jate dekh rahi hai
aur ye baiThi soch rahi hai
guzre sal ne kya baKHsha hai
agle samay mein kya likkha hai
pichhle sal ke bashinde to
ab bhi sazaen kaT rahe hain
ek duje ke sog mein baiThe
apne lahu ko chaT rahe hain
dekhen agle sal mein kya ho
peD ki shaKHon par kya hoga
shabnam tare jugnu aansu
koyal baiThi soch rahi hai
waqt ko jate dekh rahi hai
koyal karti jae ku ku
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.