nae shahron ki buniyaad
un kī bārgāh meñ
jañgal ke sher
jārob-kashī karte haiñ
maut ne un se va.ada kiyā thā
aag nahīñ jalā.egī
sātvīñ nasl tak
lekin maiñ huuñ
āThvīñ nasl meñ
maiñ ne un kī safed ḳhushbū ko mahsūs kiyā hai
un kī dastār kā
ek sirā mashriq meñ gum hai
ek sirā ek aur mashriq meñ gum hai
vo sūraj ke aage aage qabā pahan kar chalte haiñ
ham apnī hadoñ meñ simTe hue
unheñ dekhte haiñ
aur kahte haiñ na.e shahroñ kī buniyād vahī rakhte haiñ
jo jañgal ke sheroñ ko
jārob-kashī par māmūr kar deñ
ham to
apne ghoḌoñ kī gardan par
baag bhī nahīñ chhoḌ sakte
un ki bargah mein
jangal ke sher
jarob-kashi karte hain
maut ne un se wada kiya tha
aag nahin jalaegi
satwin nasl tak
lekin main hun
aaThwin nasl mein
main ne un ki safed KHushbu ko mahsus kiya hai
un ki dastar ka
ek sira mashriq mein gum hai
ek sira ek aur mashriq mein gum hai
wo suraj ke aage aage qaba pahan kar chalte hain
hum apni hadon mein simTe hue
unhen dekhte hain
aur kahte hain nae shahron ki buniyaad wahi rakhte hain
jo jangal ke sheron ko
jarob-kashi par mamur kar den
hum to
apne ghoDon ki gardan par
bag bhi nahin chhoD sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.