nae zaKHm ki justuju
aaj
phir maiñ tum se milne ke liye
bechain huuñ
aaj phir vo saare dukh
vo zaḳhm saare
jo ki pichhlī baar
tum se milne par mile
dhuñdlā ga.e
dard ke chalte hue tīroñ ke ghaav
jo guzishta baar mil kar maiñ ne paa.e
bhar chale
aao phir ik baar mil leñ
taaki phir maiñ
apnā siina taaza zaḳhmoñ nafratoñ se bhar ke
aglī baar milne tak
tumheñ phir bhuul jā.ūñ
aaj
phir main tum se milne ke liye
bechain hun
aaj phir wo sare dukh
wo zaKHm sare
jo ki pichhli bar
tum se milne par mile
dhundla gae
dard ke chalte hue tiron ke ghaw
jo guzishta bar mil kar main ne pae
bhar chale
aao phir ek bar mil len
taki phir main
apna sina taza zaKHmon nafraton se bhar ke
agli bar milne tak
tumhein phir bhul jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.