nafi
maiñ thī ā.īna farosh
koh-e-ummīd ke dāman meñ
akelī thī ziyāñ koshish
surayyā kī thī ham-dosh
mujhe har roz hama-vaqt thī bas apnī ḳhabar
maiñ thī ḳhud apne meñ mad.hosh
maiñ vo tanhā thī
jise pair milāne kā salīqa bhī na thā
maiñ vo ḳhud-bīñ thī
jise apne har ik ruḳh se mohabbat thī bahut
maiñ vo ḳhud-sar thī
jise haañ ke ujāloñ se bahut nafrat thī
maiñ ne phir qatl kiyā ḳhud ko
piyā apnā lahū hañstī rahī
log kahte haiñ hañsī aisī sunī tak bhī nahīñ
main thi aaina farosh
koh-e-ummid ke daman mein
akeli thi ziyan koshish
surayya ki thi ham-dosh
mujhe har roz hama-waqt thi bas apni KHabar
main thi KHud apne mein madhosh
main wo tanha thi
jise pair milane ka saliqa bhi na tha
main wo KHud-bin thi
jise apne har ek ruKH se mohabbat thi bahut
main wo KHud-sar thi
jise han ke ujalon se bahut nafrat thi
main ne phir qatl kiya KHud ko
piya apna lahu hansti rahi
log kahte hain hansi aisi suni tak bhi nahin
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 212)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.