nafi o isbaat
us kā iqrār kar ke
use DhūñDne chal paḌā
shahr meñ dasht meñ
koh o dariyā meñ, maiñ
muddatoñ maarā maarā phirā
lekin us kā nishāñ
merī nazroñ se
ojhal thā ojhal rahā
āḳhirash thak ke jab so gayā
maiñ kisī moḌ par
to mire parda-e-ḳhvāb par
ek tahrīr mujh se
muḳhātib huī is tarah
terā iqrār bilkul bajā hai
magar yaad rakh
ek inkār bhī
juzv-e-lāzim hai
mazkūra iqrār kā
is liye ġhair-mumkin hai takmīl
tere is iqrār kī
jab talak
is kī buniyād qaa.em na ho
juzv-e-inkār par
nā-mukammal hai iqrār jab tak tirā
ġhair-mumkin ki paa.e tū us kā patā!
us ka iqrar kar ke
use DhunDne chal paDa
shahr mein dasht mein
koh o dariya mein, main
muddaton mara mara phira
lekin us ka nishan
meri nazron se
ojhal tha ojhal raha
aaKHirash thak ke jab so gaya
main kisi moD par
to mere parda-e-KHwab par
ek tahrir mujh se
muKHatib hui is tarah
tera iqrar bilkul baja hai
magar yaad rakh
ek inkar bhi
juzw-e-lazim hai
mazkura iqrar ka
is liye ghair-mumkin hai takmil
tere is iqrar ki
jab talak
is ki buniyaad qaem na ho
juzw-e-inkar par
na-mukammal hai iqrar jab tak tera
ghair-mumkin ki pae tu us ka pata!
- Book : dhoop ke pudey (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.