nafrat
havā kamre meñ aatī hai
havā to roz aatī hai
havā kā lams arzāñ hai
sadā bhī roz aatī hai
samā'at bhī to arzāñ hai
na jaane log kaise haiñ
havā se 'ishq karte haiñ
sadā par jaan dete haiñ
mujhe donoñ se nafrat hai
ki maiñ ne chhū liyā sab kuchh
ki maiñ ne sun liyā sab kuchh
hawa kamre mein aati hai
hawa to roz aati hai
hawa ka lams arzan hai
sada bhi roz aati hai
sama'at bhi to arzan hai
na jaane log kaise hain
hawa se 'ishq karte hain
sada par jaan dete hain
mujhe donon se nafrat hai
ki main ne chhu liya sab kuchh
ki main ne sun liya sab kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.