nafrat
jo log tum se nafrat karte hoñge
ab kuchh to karte hī hoñge
āḳhir kis baat pe nafrat karte hoñge
bahut DhūñDhī hai maiñ ne bhī vo ek baat yā vo saarī bāteñ
jo mere dil meñ bhī nafrat paidā kar deñ
ziyāda nahīñ bas itnī ki maiñ sukūn se jī sakūñ
do ek nukīle aib
jin se khurach duuñ tumhārī tasvīr un āñkhoñ se aur chain se so jā.ūñ
jo log tum se nafrat karte honge
ab kuchh to karte hi honge
aaKHir kis baat pe nafrat karte honge
bahut DhunDhi hai main ne bhi wo ek baat ya wo sari baaten
jo mere dil mein bhi nafrat paida kar den
ziyaada nahin bas itni ki main sukun se ji sakun
do ek nukile aib
jin se khurach dun tumhaari taswir un aankhon se aur chain se so jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.