nafrat
vo kahtī hai
mujhe TuuTī huī chīzoñ se
nafrat hai
nahīñ rakhtī nahīñ rakhtī
maiñ in ko pheñk detī huuñ
agar kuchh TuuT jaa.e to
dobāra joḌ bhī leñge
vo pahle sā nahīñ rahtā
to
kyoñ phir ġham kareñ is kā
mayassar hai hameñ sab kuchh
dobāra le liyā jaa.e
jahāñ meñ kyā nahīñ miltā
koī paglī ko samjhā.e
na jaane kyā karegī ab
vo mujh ko toḌ baiThī hai
mire jaisā nahīñ miltā
wo kahti hai
mujhe TuTi hui chizon se
nafrat hai
nahin rakhti nahin rakhti
main in ko phenk deti hun
agar kuchh TuT jae to
dobara joD bhi lenge
wo pahle sa nahin rahta
to
kyon phir gham karen is ka
mayassar hai hamein sab kuchh
dobara le liya jae
jahan mein kya nahin milta
koi pagli ko samjhae
na jaane kya karegi ab
wo mujh ko toD baiThi hai
mere jaisa nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.