nagar nagar
tirā dhiyān liye maiñ nagar nagar ghūmā
sharīk-e-hāl thī terī nazar kī pahnā.ī
ki āsmān o samundar jagā diye jis ne
fazā meñ abr ke paikar banā diye jis ne
kabhī jo baiTh gayā maiñ shajar ke saa.e meñ
to mere chehre ko chhūne lagīñ tirī sāñseñ
hazār bāteñ thiiñ pattoñ ke sarsarāne meñ
hazār lams the jis vaqt jhuk ga.iiñ shāḳheñ
dam-e-ġhurūb gayā bazm meñ hasīnoñ kī
bitā.eñ sā.ateñ sohbat meñ nāznīnoñ kī
har aa.ine se jhalaktā tirā gudāz badan
vo jhūlte hue fānūs tere āveze
vo mauj-e-rañg tirā shabnamī sā pairāhan
tujhe pukāregī rātoñ ko merī tanhā.ī
ye bhuuk ruuh kī ye ishtihā-e-be-ārām
jo ek marg-e-musalsal hai ek soz-e-davām
tera dhiyan liye main nagar nagar ghuma
sharik-e-haal thi teri nazar ki pahnai
ki aasman o samundar jaga diye jis ne
faza mein abr ke paikar bana diye jis ne
kabhi jo baiTh gaya main shajar ke sae mein
to mere chehre ko chhune lagin teri sansen
hazar baaten thin patton ke sarsarane mein
hazar lams the jis waqt jhuk gain shaKHen
dam-e-ghurub gaya bazm mein hasinon ki
bitaen saaten sohbat mein nazninon ki
har aaine se jhalakta tera gudaz badan
wo jhulte hue fanus tere aaweze
wo mauj-e-rang tera shabnami sa pairahan
tujhe pukaregi raaton ko meri tanhai
ye bhuk ruh ki ye ishtiha-e-be-aram
jo ek marg-e-musalsal hai ek soz-e-dawam
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.