naghma-e-watan
chaman kī sar-zamīñ apnī chaman kā āsmāñ apnā
banā.eñ kis liye ik shāḳh-e-gul par āshiyāñ apnā
haiñ is ke ḳhār-o-gul apne ḳhizāñ apnī bahār apnī
bahar-sūrat hameñ mahbūb hai ye gulsitāñ apnā
chaman kī bazm-e-rangā-rang meñ raqsāñ hai yak-rañgī
ki is kā sāz-e-sad-āvāz bhī hai ham-zabāñ apnā
yahāñ parhez kaisā aao rindān-e-vatan aao
ki jaam apnā hai apnā mai-kada pīr-e-muġhāñ apnā
girā.īñ is pe lākhoñ bijliyāñ charḳh-e-sitamgar ne
magar ab bhī tajallī-rez hai jannat-nishāñ apnā
na ab gulchīñ hai ḳhosha-chīñ na vo sayyād jābir hai
jo thā nā-mehrbāñ ab ho rahā hai mehrbāñ apnā
koī is daur meñ begāna ho kar rah nahīñ saktā
ki har ahl-e-chaman 'hindī' hai ḳhud hī pāsbāñ apnā
chaman ki sar-zamin apni chaman ka aasman apna
banaen kis liye ek shaKH-e-gul par aashiyan apna
hain is ke KHar-o-gul apne KHizan apni bahaar apni
bahar-surat hamein mahbub hai ye gulsitan apna
chaman ki bazm-e-ranga-rang mein raqsan hai yak-rangi
ki is ka saz-e-sad-awaz bhi hai ham-zaban apna
yahan parhez kaisa aao rindan-e-watan aao
ki jam apna hai apna mai-kada pir-e-mughan apna
girain is pe lakhon bijliyan charKH-e-sitamgar ne
magar ab bhi tajalli-rez hai jannat-nishan apna
na ab gulchin hai KHosha-chin na wo sayyaad jabir hai
jo tha na-mehrban ab ho raha hai mehrban apna
koi is daur mein begana ho kar rah nahin sakta
ki har ahl-e-chaman 'hindi' hai KHud hi pasban apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.