naghma
ek añdherā aañkh jhapak kar laakh añdhere laa.e
chāñd kī nazreñ dīpak par haiñ dīpak jaltā jaa.e
ban-bāsī jogī matvālā raag anokhe gaa.e
patthar ke siine kā sapnā saañp bane bal khaa.e
pūrab kī badmast havā rāhoñ pe phan phailā.e
ang ang dikhlā kar nāgin lapak lapak lahrā.e
dīpak-rāg koī sulgā kar hirdai aag lagā.e
mandir jal kar raakh bane aur pūrab ko uḌ jaa.e
pūrab ke gul-būToñ par bhī ek nayā rang aa.e
saat rang kī saat zamīneñ saat samundar laa.e
koī kare jīvan ujyārā koī to ruup dikhā.e
nain kī nirmal nāzuk nayyā be-sudh niir bahā.e
kisī kī aas pe sāñjh savere kaun kināre aa.e
chāñd kī nazreñ dīpak par haiñ dīpak jaltā jaa.e
ek añdherā aañkh jhapak kar laakh añdhere laa.e
ek andhera aankh jhapak kar lakh andhere lae
chand ki nazren dipak par hain dipak jalta jae
ban-basi jogi matwala rag anokhe gae
patthar ke sine ka sapna sanp bane bal khae
purab ki badmast hawa rahon pe phan phailae
ang ang dikhla kar nagin lapak lapak lahrae
dipak-rag koi sulga kar hirdai aag lagae
mandir jal kar rakh bane aur purab ko uD jae
purab ke gul-buTon par bhi ek naya rang aae
sat rang ki sat zaminen sat samundar lae
koi kare jiwan ujyara koi to rup dikhae
nain ki nirmal nazuk nayya be-sudh nir bahae
kisi ki aas pe sanjh sawere kaun kinare aae
chand ki nazren dipak par hain dipak jalta jae
ek andhera aankh jhapak kar lakh andhere lae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.