naghma numa
mirī tanhā.iyo tum hī lagā lo mujh ko siine se
ki maiñ ghabrā gayā huuñ is tarah ro ro ke jiine se
ye aadhī raat ko phir chūḌiyāñ sī kyā khanaktī haiñ
koī aatā hai yā merī hī zanjīreñ chhanaktī haiñ
ye bāteñ kis tarah pūchhūñ meñ sāvan ke mahīne se
mirī tanhā.iyo tum hī lagā lo mujh ko siine se
mujhe piine do apne hī lahū kā jaam piine do
na siine do kisī ko bhī mirā dāman na siine do
mirī vahshat na baḌh jaa.e kahīñ dāman ke siine se
mirī tanhā.iyo tum hī lagā lo mujh ko siine se
meri tanhaiyo tum hi laga lo mujh ko sine se
ki main ghabra gaya hun is tarah ro ro ke jine se
ye aadhi raat ko phir chuDiyan si kya khanakti hain
koi aata hai ya meri hi zanjiren chhanakti hain
ye baaten kis tarah puchhun mein sawan ke mahine se
meri tanhaiyo tum hi laga lo mujh ko sine se
mujhe pine do apne hi lahu ka jam pine do
na sine do kisi ko bhi mera daman na sine do
meri wahshat na baDh jae kahin daman ke sine se
meri tanhaiyo tum hi laga lo mujh ko sine se
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 38)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.