nahin
tum ek ḳhayāl kī tarah mere dil meñ
nahīñ utar sakte
na tum merī ā.ankhoñ meñ ḳhvāb ban sakte ho
abhī to maiñ tum ko dekh rahī huuñ
tum ko chhū saktī huuñ
tumhārī uñgliyoñ kī poreñ
sāmān bāñdhte hue
merī poroñ se Takrā bhī saktī haiñ
lekin jab
ye sab kuchh nahīñ hogā
maiñ tumheñ
ek yaad meñ badal dūñgī
aur milā dūñgī
apnī un yādoñ se
jinheñ maiñ bhulā baiThī huuñ
tum ek KHayal ki tarah mere dil mein
nahin utar sakte
na tum meri aaankhon mein KHwab ban sakte ho
abhi to main tum ko dekh rahi hun
tum ko chhu sakti hun
tumhaari ungliyon ki poren
saman bandhte hue
meri poron se Takra bhi sakti hain
lekin jab
ye sab kuchh nahin hoga
main tumhein
ek yaad mein badal dungi
aur mila dungi
apni un yaadon se
jinhen main bhula baiThi hun
- Book : hairat ke us paar (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.