nahin malum
uThā chaman se ye kaisā dhuāñ nahīñ ma.alūm
bachā ki ḳhaak huā āshiyāñ nahīñ ma.alūm
maiñ uḌ ke jā.ūñ to jā.ūñ kahāñ nahīñ ma.alūm
mujhe to ghoñsle kā bhī nishāñ nahīñ ma.alūm
friday ko to mai-ḳhāna band rahtā hai
namāz paḌhtā hai pīr-e-muġhāñ nahīñ ma.alūm
jigar se phephḌe se dil se yā ki gurde se
kahāñ se uThtā hai dard-e-nihāñ nahīñ ma.alūm
maiñ tie bāñdh ke āvāz bhīñch letā huuñ
hisāb to hameñ allah miyāñ nahīñ ma.alūm
adū bhī zinda hai aur maiñ bhī huuñ ba-qaid-e-hayāt
haiñ aap ke liye girya-kunāñ nahīñ ma.alūm
vahī to nikle hai leader jo apnā leader hai
ki vote dene lagīñ ranDiyāñ nahīñ ma.alūm
bahār aane se kyoñ ḳhush hue ye dīvāne
bahār hī meñ nihāñ hai ḳhizāñ nahīñ ma.alūm
hazār laakh bahāne banāo tum lekin
nazar to bhāñp chuke yaar ḳhaañ nahīñ ma.alūm
na aage baḌhtī hai ab tū na pīchhe haTtī hai
kahāñ aTak ga.ī umr-e-ravāñ nahīñ ma.alūm
hamārī qabr ke taḳhte churā ke kahte haiñ
jalāo lakḌī bahut hai girāñ nahīñ ma.alūm
'zarīf' aap sañbhal kar paḌhā kareñ ash.ār
mushā.era meñ haiñ ahl-e-zabāñ nahīñ ma.alūm
uTha chaman se ye kaisa dhuan nahin malum
bacha ki KHak hua aashiyan nahin malum
main uD ke jaun to jaun kahan nahin malum
mujhe to ghonsle ka bhi nishan nahin malum
friday ko to mai-KHana band rahta hai
namaz paDhta hai pir-e-mughan nahin malum
jigar se phephDe se dil se ya ki gurde se
kahan se uThta hai dard-e-nihan nahin malum
main tie bandh ke aawaz bhinch leta hun
hisab to hamein allah miyan nahin malum
adu bhi zinda hai aur main bhi hun ba-qaid-e-hayat
hain aap ke liye girya-kunan nahin malum
wahi to nikle hai leader jo apna leader hai
ki wote dene lagin ranDiyan nahin malum
bahaar aane se kyon KHush hue ye diwane
bahaar hi mein nihan hai KHizan nahin malum
hazar lakh bahane banao tum lekin
nazar to bhanp chuke yar KHan nahin malum
na aage baDhti hai ab tu na pichhe haTti hai
kahan aTak gai umr-e-rawan nahin malum
hamari qabr ke taKHte chura ke kahte hain
jalao lakDi bahut hai giran nahin malum
'zarif' aap sanbhal kar paDha karen ashaar
mushaera mein hain ahl-e-zaban nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.