nai bhikaran
har dar pe pahuñch kar ro denā dukh peT kā sab se kah jaanā
jab sāmne aa jaatā hai koī phailā kar haath ko rah jaanā
fāqoñ se hai be-hoshī sī har gaam pe chakkar aate haiñ
paivand-bharī kohna sī ridā paivand bhī udhḌe jaate haiñ
matvālī rasīlī āñkhoñ ke andāz badalte rahte haiñ
kuchh makkhiyāñ bhin bhin kartī haiñ kuchh aañsū chalte rahte haiñ
muñh pher ke aañsū poñchhtī hai ashkoñ meñ ubaal aa jaatā hai
rah rah ke malāl aa jaatā hai kuchh dil meñ ḳhayāl aa jaatā hai
jab dil kī dhaḌkan baḌhtī hai kuchh aur bhī ghabrā jaatī hai
pachhtā pachhtā kar māñgtī hai aur maañg ke pachhtā jaatī hai
hai dard-bharī āvāz meñ ik tarkīb na.ī andāz nayā
phūTī huī qismat chheḌ rahī hai TuuTe dil kā saaz nayā
detā hai agar kuchh bhiik koī lete hue kyā sharmātī hai
ġhairat kā to sar jhuk jaatā hai muhtājī haath baḌhātī hai
buniyād-e-ġhurūr-o-kibr-o-anā ko Thokar se Dhā detī hai
tadbīr kī āḳhir nākāmī taqdīr ko manvā detī hai
kahtī hai ki dekh ai ahl-e-duval muhtājī kī tasvīr huuñ maiñ
jis ḳhvāb ko tū hai dekh rahā us ḳhvāb kī ik ta.abīr huuñ maiñ
har dar pe pahunch kar ro dena dukh peT ka sab se kah jaana
jab samne aa jata hai koi phaila kar hath ko rah jaana
faqon se hai be-hoshi si har gam pe chakkar aate hain
paiwand-bhari kohna si rida paiwand bhi udhDe jate hain
matwali rasili aankhon ke andaz badalte rahte hain
kuchh makkhiyan bhin bhin karti hain kuchh aansu chalte rahte hain
munh pher ke aansu ponchhti hai ashkon mein ubaal aa jata hai
rah rah ke malal aa jata hai kuchh dil mein KHayal aa jata hai
jab dil ki dhaDkan baDhti hai kuchh aur bhi ghabra jati hai
pachhta pachhta kar mangti hai aur mang ke pachhta jati hai
hai dard-bhari aawaz mein ek tarkib nai andaz naya
phuTi hui qismat chheD rahi hai TuTe dil ka saz naya
deta hai agar kuchh bhik koi lete hue kya sharmati hai
ghairat ka to sar jhuk jata hai muhtaji hath baDhati hai
buniyaad-e-ghurur-o-kibr-o-ana ko Thokar se Dha deti hai
tadbir ki aaKHir nakaami taqdir ko manwa deti hai
kahti hai ki dekh ai ahl-e-duwal muhtaji ki taswir hun main
jis KHwab ko tu hai dekh raha us KHwab ki ek tabir hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.