nayā din hai
na.e manzar
na.e saa.e
purānā aadmī maiñ
na.ī duniyā meñ rasta DhūñDhtā huuñ
mirī āñkhoñ meñ ab bosīda ḳhvāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
mire hāthoñ ke sab naqshe purāne ho chuke haiñ
in lakīroñ kā
na.ī duniyā kī rāhoñ se koī rishta nahīñ hai
bahut muddat huī ik āshnā āvāz ne mujh se kahā thā
tum agar chāho
to maiñ tum ko rasīle ḳhvāb de duuñ
raushnī ke ḳhvāb
kaif-o-sarḳhushī ke ḳhvāb
aise ḳhvāb jo dukh-dard se mahfūz rakhte haiñ
jinheñ āñkhoñ meñ rakh lene se duniyā ḳhūb-sūrat lagne lagtī hai
magar maiñ ne kahā us se
tum apne ḳhvāb apne paas rakkho
maiñ na.ī duniyā kī jānib jā rahā huuñ
mujhe ḳhvāboñ se kyā maiñ to haqīqat kā pujārī huuñ
ġhurūr-e-āgahī ne mujh ko dīvāna banā rakkhā thā shāyad
agar maiñ vo rasīle ḳhvāb le letā to achchhā thā
haqīqat maut hai vo mujh ko ḳhud hī DhūñD letī
zindagī ḳhvāboñ kā mausam hai
na.ī duniyā meñ lekin mausamī meve bhī mahñge haiñ
agar maiñ vo purāne ḳhvāb le letā to achchhā thā
naya din hai
nae manzar
nae sae
purana aadmi main
nai duniya mein rasta DhunDhta hun
meri aankhon mein ab bosida KHwabon ke siwa kuchh bhi nahin hai
mere hathon ke sab naqshe purane ho chuke hain
in lakiron ka
nai duniya ki rahon se koi rishta nahin hai
bahut muddat hui ek aashna aawaz ne mujh se kaha tha
tum agar chaho
to main tum ko rasile KHwab de dun
raushni ke KHwab
kaif-o-sarKHushi ke KHwab
aise KHwab jo dukh-dard se mahfuz rakhte hain
jinhen aankhon mein rakh lene se duniya KHub-surat lagne lagti hai
magar main ne kaha us se
tum apne KHwab apne pas rakkho
main nai duniya ki jaanib ja raha hun
mujhe KHwabon se kya main to haqiqat ka pujari hun
ghurur-e-agahi ne mujh ko diwana bana rakkha tha shayad
agar main wo rasile KHwab le leta to achchha tha
haqiqat maut hai wo mujh ko KHud hi DhunD leti
zindagi KHwabon ka mausam hai
nai duniya mein lekin mausami mewe bhi mahnge hain
agar main wo purane KHwab le leta to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.