nai ghaTaen utar rahi hain
ye tum na kahnā
kisī se tum ko
kabhī mohabbat nahīñ rahī hai
tumhāre lab par
hikāyat-e-mehr-o-ulfat nahīñ rahī hai
tumhārī āñkhoñ ne ek shab bhī
na koī qurbat kā ḳhvāb dekhā
na ḳhuun meñ iltihāb paayā
na ruuh meñ iztirāb dekhā
ye tum na kahnā
tumhāre ehsās kī zamīñ par
koī na guzrā
badan-darīda ḳhizāñ-rasīda-o-pā-tapīda
salonī rangat kī chāhatoñ ne kabhī na hosh-o-havās luuTe
hatheliyoñ meñ na chāñd utrā na uñgliyoñ se sharār phūTe
jo tum kaho to bas itnā kahnā
tumhārī āñkhoñ ke āñganoñ meñ
na.ī ghaTā.eñ utar rahī haiñ
isī liye to purāne mausam kā koī manzar bachā nahīñ hai
guzishta saa.at kā koī paikar rahā nahīñ hai
ye tum na kahna
kisi se tum ko
kabhi mohabbat nahin rahi hai
tumhaare lab par
hikayat-e-mehr-o-ulfat nahin rahi hai
tumhaari aankhon ne ek shab bhi
na koi qurbat ka KHwab dekha
na KHun mein iltihab paya
na ruh mein iztirab dekha
ye tum na kahna
tumhaare ehsas ki zamin par
koi na guzra
badan-darida KHizan-rasida-o-pa-tapida
saloni rangat ki chahaton ne kabhi na hosh-o-hawas luTe
hatheliyon mein na chand utra na ungliyon se sharar phuTe
jo tum kaho to bas itna kahna
tumhaari aankhon ke aanganon mein
nai ghaTaen utar rahi hain
isi liye to purane mausam ka koi manzar bacha nahin hai
guzishta saat ka koi paikar raha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.