nai justuju ka alamiya
taḳhayyul kī ūñchī uḌānoñ se aage
jahāñ ḳhvāb TuuTe paḌe haiñ
mirī aarzū thī vahāñ jā ke dekhūñ
rafīqoñ raqīboñ ke chehre
mirī har baġhāvat pe hañste rahe haiñ
maiñ raftār ke dā.ere toḌ kar
ḳhudā se pare jā chukā huuñ
farishtoñ kī pahlī baġhāvat kā manzar mujhe yaad aayā
kuchh aisā lagā jaise aadam kā saarā alamiya
na.ī justujū ke sahāre hamesha rahegā
har ik baar bāġhī na.e ban ke
vo dāstāñ phir se dohrā rahe haiñ
ḳhud iblīs hairān hai
ḳhair o shar kī na.ī kashmakash meñ ulajh kar har ik baar ye sochtā hai
''ḳhudāyā! maiñ mazlūm huuñ
merī fitrat meñ jo sar-kashī thī vo aadam se thī
terā banda huuñ aajiz huuñ tū rahm kar
dekh ek muddat se aadam ke beTe
tujhe aur mujhe bhuul kar
sirf be-nām be-sūd se justujū ke sahāre baḌhe jā rahe haiñ
unheñ terī rahmat terā qahr kuchh bhī Darātā nahīñ
mujhe aaj pahlī daf.a Dar lagā hai
kahīñ ye mujhe aur tujhe qaid kar ke
sirf taḳhlīq ke jurm meñ vo sazā deñ
jis ko lākhoñ baras se ye sahte chale aa rahe haiñ!''
taKHayyul ki unchi uDanon se aage
jahan KHwab TuTe paDe hain
meri aarzu thi wahan ja ke dekhun
rafiqon raqibon ke chehre
meri har baghawat pe hanste rahe hain
main raftar ke daere toD kar
KHuda se pare ja chuka hun
farishton ki pahli baghawat ka manzar mujhe yaad aaya
kuchh aisa laga jaise aadam ka sara alamiya
nai justuju ke sahaare hamesha rahega
har ek bar baghi nae ban ke
wo dastan phir se dohra rahe hain
KHud iblis hairan hai
KHair o shar ki nai kashmakash mein ulajh kar har ek bar ye sochta hai
KHudaya! main mazlum hun
meri fitrat mein jo sar-kashi thi wo aadam se thi
tera banda hun aajiz hun tu rahm kar
dekh ek muddat se aadam ke beTe
tujhe aur mujhe bhul kar
sirf be-nam be-sud se justuju ke sahaare baDhe ja rahe hain
unhen teri rahmat tera qahr kuchh bhi Daraata nahin
mujhe aaj pahli dafa Dar laga hai
kahin ye mujhe aur tujhe qaid kar ke
sirf taKHliq ke jurm mein wo saza den
jis ko lakhon baras se ye sahte chale aa rahe hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.