nai mahfil mein pahli shanasai
na.ī jagah thī duur duur tak āḳhir par dīvāreñ shab kī
kuchh yāroñ ne barpā kar dī ik mahfil kuchh apne Dhab kī
ūñche dar se dāḳhil ho kar saaf nasheb meñ baiThe jā kar
ek maqām meñ hue ikaTThe raunaq aur vīrānī aa kar
markaz-e-dar se jashn-bapā tak sair thī shām-e-mehr-o-vafā kī
ḳhushī thī us se milne jaisī bechainī thī abr-o-havā kī
sab rañgoñ ke log jam.a the ek hī manzil thī un sab kī
ik bastī ālām se ḳhālī ek fazā kisī ḳhvāb-e-tarab kī
jañgal kī shādābī jaisā pahnā thā koī jalva us ne
pairāhan ik na.ī vaz.a kā khule samundar jaisā us ne
kar rakkhā thā chehra apnā dukh-mukh se be-parvā us ne
merī taraf takne se pahle chāroñ jānib dekhā us ne
nai jagah thi dur dur tak aaKHir par diwaren shab ki
kuchh yaron ne barpa kar di ek mahfil kuchh apne Dhab ki
unche dar se daKHil ho kar saf nasheb mein baiThe ja kar
ek maqam mein hue ikaTThe raunaq aur virani aa kar
markaz-e-dar se jashn-bapa tak sair thi sham-e-mehr-o-wafa ki
KHushi thi us se milne jaisi bechaini thi abr-o-hawa ki
sab rangon ke log jama the ek hi manzil thi un sab ki
ek basti aalam se KHali ek faza kisi KHwab-e-tarab ki
jangal ki shadabi jaisa pahna tha koi jalwa us ne
pairahan ek nai waza ka khule samundar jaisa us ne
kar rakkha tha chehra apna dukh-mukh se be-parwa us ne
meri taraf takne se pahle chaaron jaanib dekha us ne
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 160)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.