nai nasl ka aaKHri nauha
tulū-e-sub.h-e-fardā kī munādī bhī zarā sun lo
ye atom jab phaTegā to qayāmat chār-sū hogī
tabāhī kū-bakū hogī
kabhī gulshan ke in nau-ḳhez ġhunchoñ kī taraf dekho
ye lāġhar kalmūe nange nigoḌe naunihāloñ kī taraf dekho
zarā socho
ye gandī bastiyāñ hadd-e-gumāñ se bhī kahīñ aage na baḌh jaa.eñ
ye aisā kārvāñ hai jo bahut baḌhtā hī jaatā hai
zarā socho
tumhārī khetiyāñ sonā ugaltī haiñ zamānoñ se
mah-o-anjum ugā sakte ho is dhartī se tum lekin
magar ab bhuuk ugtī hai
abhī tum ḳhvāb ke parcham uḌāte ho
ḳhudā kī rahmatoñ ke giit gaate ho
navāzish jaan kar ḳhushiyāñ manāte ho
kabhī tum an-ginat bhūkī nigāhoñ kī taraf dekho
zarā socho
hazāroñ haath ḳhālī haiñ hazāroñ hote jaate haiñ
ye kaisī bhiiḌ hai jo kārvāñ-dar-kārvāñ kam hī nahīñ hotī
na.e jismoñ ke pairāhan musalsal kaTte jaate haiñ
zarā socho
zamīñ kī vus.ateñ har daur meñ ghaTtī hī jaatī haiñ
nagīne ḳhuun ke
gāḌhe pasīne kī kamā.ī
kahāñ tak munqasim hoñge
qatāreñ baḌhtī jaatī haiñ
zarā socho
makāñ se lā-makāñ tak qahr-e-mustaqbil numāyāñ hai
hujūm-e-be-karāñ ko dekh kar aalam pareshāñ hai
tulūa-e-sub.h-e-fardā kī munādī bhī zarā san lo
ye atom jab phaTegā to qayāmat chār-sū hogī
tabāhī kū-bakū hogī
zarā socho
tulu-e-subh-e-farda ki munadi bhi zara sun lo
ye atom jab phaTega to qayamat chaar-su hogi
tabahi ku-baku hogi
kabhi gulshan ke in nau-KHez ghunchon ki taraf dekho
ye laghar kalmue nange nigoDe naunihaalon ki taraf dekho
zara socho
ye gandi bastiyan hadd-e-guman se bhi kahin aage na baDh jaen
ye aisa karwan hai jo bahut baDhta hi jata hai
zara socho
tumhaari khetiyan sona ugalti hain zamanon se
mah-o-anjum uga sakte ho is dharti se tum lekin
magar ab bhuk ugti hai
abhi tum KHwab ke parcham uDate ho
KHuda ki rahmaton ke git gate ho
nawazish jaan kar KHushiyan manate ho
kabhi tum an-ginat bhuki nigahon ki taraf dekho
zara socho
hazaron hath KHali hain hazaron hote jate hain
ye kaisi bhiD hai jo karwan-dar-karwan kam hi nahin hoti
nae jismon ke pairahan musalsal kaTte jate hain
zara socho
zamin ki wusaten har daur mein ghaTti hi jati hain
nagine KHun ke
gaDhe pasine ki kamai
kahan tak munqasim honge
qataren baDhti jati hain
zara socho
makan se la-makan tak qahr-e-mustaqbil numayan hai
hujum-e-be-karan ko dekh kar aalam pareshan hai
tulua-e-subh-e-farda ki munadi bhi zara san lo
ye atom jab phaTega to qayamat chaar-su hogi
tabahi ku-baku hogi
zara socho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.