nai nasl ki dua
mere ḳhvāboñ kī ta.abīr se bhī hasīñ
mere ābā-o-ajdād kī sar-zamīñ
mujh ko aise lagā
jaise maiñ terā beTā nahīñ
vo imārāt jo terī azmat kī ik zinda
tasvīr thiiñ
ab khañDar ban chukīñ
har taraf ḳhāmushī aur makḌī ke jaale
har ik shai pe barsoñ se kaa.ī kī tah jam chukī hai
ajab ek pur huuñ sā ye samāñ hai
kahīñ par na ab haiñ nishān paañv ke
jahāñ se ka.ī qāfile manzileñ mārte
na.e daur ke jo payāmī bane the
magar ab vo raste
zamāne kī uḌtī huī gard meñ dab chuke haiñ
na ab ye fazā
un ke ghoḌoñ kī Tāpoñ se hī gūñjtī hai
sadā.eñ
ḳhalāoñ ke andhe kuñ.eñ meñ
kahīñ gum huī haiñ
ki jaise mirā ab kisī shai se bhī koī rishta nahīñ hai
maiñ un ke liye ajnabī huuñ
vo mere liye ajnabī haiñ
maiñ faqat haal ke ek bajre meñ baiThā
samundar kī lahroñ
havāoñ kī samtoñ ke rahm-o-karam par
fazāoñ meñ goyā muallaq huā huuñ
kahīñ duur tak paañv dharne kī ḳhātir zamīñ hī nahīñ hai
ajab zindagī hai
agarche huuñ zinda
magar zinda rahne kī ḳhvāhish nahīñ hai
ai zamīñ
ai zamīñ
mujh pe apne daraḳhshanda maazī ke darvāze vā kar
mirī ḳhālī āñkheñ na.e ḳhvāb se bhar
mujhe lazzat-e-hāl se āshnā kar
mere KHwabon ki tabir se bhi hasin
mere aaba-o-ajdad ki sar-zamin
mujh ko aise laga
jaise main tera beTa nahin
wo imaraat jo teri azmat ki ek zinda
taswir thin
ab khanDar ban chukin
har taraf KHamushi aur makDi ke jale
har ek shai pe barson se kai ki tah jam chuki hai
ajab ek pur hun sa ye saman hai
kahin par na ab hain nishan panw ke
jahan se kai qafile manzilen marte
nae daur ke jo payami bane the
magar ab wo raste
zamane ki uDti hui gard mein dab chuke hain
na ab ye faza
un ke ghoDon ki Tapon se hi gunjti hai
sadaen
KHalaon ke andhe kunen mein
kahin gum hui hain
ki jaise mera ab kisi shai se bhi koi rishta nahin hai
main un ke liye ajnabi hun
wo mere liye ajnabi hain
main faqat haal ke ek bajre mein baiTha
samundar ki lahron
hawaon ki samton ke rahm-o-karam par
fazaon mein goya muallaq hua hun
kahin dur tak panw dharne ki KHatir zamin hi nahin hai
ajab zindagi hai
agarche hun zinda
magar zinda rahne ki KHwahish nahin hai
ai zamin
ai zamin
mujh pe apne daraKHshanda mazi ke darwaze wa kar
meri KHali aankhen nae KHwab se bhar
mujhe lazzat-e-haal se aashna kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.