nai nasl
umr us guphā meñ reñg aa.ī hai jahāñ
koī ḳhaar koī kañkarī nahīñ
soñdhī soñdhī giilī giilī baas hai
ḳhudā kī narm narm chhāñv hai
maut kī miThās hai
ḳhudā kī narm narm chhāñv hai
hazār baar laḌ chukā huuñ
ek ek ḳhvāb ke liye
hamāre darmiyāñ jañg ho chukī hai
aaj jab mire liye
sulh kī ghaḌī hai
phir kashākash-e-hayāt kā
nayā sabab khaḌā na kar
merī aañkh dekhne kā har azaab sah chukī hai
mujh ko mat dikhā
mire chahete sāthiyoñ ke qāfile
jo farāz-e-zindagī kī har samt jā rahe the
sañg-bāriyoñ kī zad meñ haiñ
mere kaan har sadā ke zaḳhm khā ke pak chuke haiñ
mujh ko mat sunā
mere ba.ad aane vāloñ ke dukhoñ kī dāstāñ mat sunā
aaj jab mire liye
sulh kī ghaḌī hai
sab dukhoñ kī dhaar kund ho chukī hai
saare saañp bichchhūoñ kā zahr mar chukā hai
ḳhvāb-e-āfrīñ hai
niiñd aa rahī hai mujh ko mat jagā
mujh ko mat dikhā
mujh ko mat sunā
umr us gupha mein reng aai hai jahan
koi KHar koi kankari nahin
sondhi sondhi gili gili bas hai
KHuda ki narm narm chhanw hai
maut ki miThas hai
KHuda ki narm narm chhanw hai
hazar bar laD chuka hun
ek ek KHwab ke liye
hamare darmiyan jang ho chuki hai
aaj jab mere liye
sulh ki ghaDi hai
phir kashakash-e-hayat ka
naya sabab khaDa na kar
meri aankh dekhne ka har azab sah chuki hai
mujh ko mat dikha
mere chahete sathiyon ke qafile
jo faraaz-e-zindagi ki har samt ja rahe the
sang-bariyon ki zad mein hain
mere kan har sada ke zaKHm kha ke pak chuke hain
mujh ko mat suna
mere baad aane walon ke dukhon ki dastan mat suna
aaj jab mere liye
sulh ki ghaDi hai
sab dukhon ki dhaar kund ho chuki hai
sare sanp bichchhuon ka zahr mar chuka hai
KHwab-e-afrin hai
nind aa rahi hai mujh ko mat jaga
mujh ko mat dikha
mujh ko mat suna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.