nai sadi tujhe shair salam kahta hai
ba-sad-ḳhulūs ba-sad-ehtirām kahtā hai
na.ī sadī tujhe shā.ir salām kahtā hai
tujhe ḳhabar hī nahīñ hai to maiñ ye batlā duuñ
taras rahā hai abhī aadmī ḳhushī ke liye
dil-o-nazar pe añdheroñ kā raaj hai phir bhī
bashar ne yuuñ to jalā.e haiñ āgahī ke diye
har ek dil se añdheroñ ko tū miTā denā
mohabbatoñ ke diye har taraf jalā denā
na.ī sadī tujhe shā.ir salām kahtā hai
na.ī sadī tū hameñ aisā aa.ina de de
ham apne chehre ke dāġhoñ ko ḳhud hī pahchāneñ
parā.e aiboñ pe uñglī uThāne se pahle
ham apne apne garebāñ meñ jhāñk kar dekheñ
ḳhud-ehtisābī kā jazba hameñ mayassar ho
hamārī nazroñ meñ achchhā.iyoñ kā manzar ho
na.ī sadī tujhe shā.ir salām kahtā hai
salīb-o-dār pe sachchā.iyoñ kī lāsheñ haiñ
laboñ pe ḳhauf ke taale lage haiñ logoñ ke
ye kaisā ḳhauf hai chhāyā huā har ik jānib
sañbhal sañbhal ke qadam uTh rahe haiñ logoñ ke
ab is muhīb se ehsās ko haTā denā
diloñ pe taarī hai jo ḳhauf use miTā denā
na.ī sadī tujhe shā.ir salām kahtā hai
ga.ī sadī ne to kyā kyā zalīl-o-ḳhvār kiyā
jo be-gunāh the un ko bhī sangsār kiyā
ḳhudā qubūl kare amn kī duāoñ ko
zamīñ pe ḳhauf ke bādal na ab kabhī chhā.eñ
na koī aag lage barf ke pahāḌoñ meñ
ḳhizāoñ se na gulistāñ ke phuul murjhā.eñ
na.ī sadī nayā mausam na.ī havā denā
mohabbatoñ ke chaman har taraf khilā denā
na.ī sadī tujhe shā.ir salām kahtā hai
ba-sad-KHulus ba-sad-ehtiram kahta hai
nai sadi tujhe shair salam kahta hai
tujhe KHabar hi nahin hai to main ye batla dun
taras raha hai abhi aadmi KHushi ke liye
dil-o-nazar pe andheron ka raj hai phir bhi
bashar ne yun to jalae hain aagahi ke diye
har ek dil se andheron ko tu miTa dena
mohabbaton ke diye har taraf jala dena
nai sadi tujhe shair salam kahta hai
nai sadi tu hamein aisa aaina de de
hum apne chehre ke daghon ko KHud hi pahchanen
parae aibon pe ungli uThane se pahle
hum apne apne gareban mein jhank kar dekhen
KHud-ehtisabi ka jazba hamein mayassar ho
hamari nazron mein achchhaiyon ka manzar ho
nai sadi tujhe shair salam kahta hai
salib-o-dar pe sachchaiyon ki lashen hain
labon pe KHauf ke tale lage hain logon ke
ye kaisa KHauf hai chhaya hua har ek jaanib
sanbhal sanbhal ke qadam uTh rahe hain logon ke
ab is muhib se ehsas ko haTa dena
dilon pe tari hai jo KHauf use miTa dena
nai sadi tujhe shair salam kahta hai
gai sadi ne to kya kya zalil-o-KHwar kiya
jo be-gunah the un ko bhi sangsar kiya
KHuda qubul kare amn ki duaon ko
zamin pe KHauf ke baadal na ab kabhi chhaen
na koi aag lage barf ke pahaDon mein
KHizaon se na gulistan ke phul murjhaen
nai sadi naya mausam nai hawa dena
mohabbaton ke chaman har taraf khila dena
nai sadi tujhe shair salam kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.