nai subh
bikhar ga.ī haiñ añdheroñ meñ champa.ī kirneñ
na.e ufuq pe nayā āftāb niklā hai
gajar bajā hai na.ī sub.h kā payām liye
ġham-e-hayāt ke siine kā bojh pighlā hai
na.ī bahār kī dul.han sañvar ke baiThī hai
laboñ pe sub.h-e-banaras kā giit raqsāñ hai
mahak rahe haiñ havāoñ ke reshmī āñchal
ḳhushī ke saaz pe saarā chaman ġhazal-ḳhvāñ hai
nigāh-e-shauq ke sadqe ki ham ne phir ik baar
rah-e-vafā meñ hazāroñ diye jalā.e haiñ
simaT ga.ī haiñ zamāne kī sarhadeñ aise
kabhī jo duur the ham se qarīb aa.e haiñ
dikhā diyā hai zamāne ko ek jaañ ho kar
miTā diyā hai raqīboñ kā har bharam ham ne
banā liyā hai bulandī pe āshiyāñ apnā
Dubo diye haiñ sabhī qahqahoñ meñ ġham ham ne
chalo uTho ki abhī manzileñ bulātī haiñ
baḌhe chalo ki yahī vaqt kā taqāzā hai
'kañval' banā.eñge apne vatan ko ham jannat
yahī hai apnī tamanna yahī irāda hai
bikhar gai hain andheron mein champai kirnen
nae ufuq pe naya aaftab nikla hai
gajar baja hai nai subh ka payam liye
gham-e-hayat ke sine ka bojh pighla hai
nai bahaar ki dulhan sanwar ke baiThi hai
labon pe subh-e-banaras ka git raqsan hai
mahak rahe hain hawaon ke reshmi aanchal
KHushi ke saz pe sara chaman ghazal-KHwan hai
nigah-e-shauq ke sadqe ki hum ne phir ek bar
rah-e-wafa mein hazaron diye jalae hain
simaT gai hain zamane ki sarhaden aise
kabhi jo dur the hum se qarib aae hain
dikha diya hai zamane ko ek jaan ho kar
miTa diya hai raqibon ka har bharam hum ne
bana liya hai bulandi pe aashiyan apna
Dubo diye hain sabhi qahqahon mein gham hum ne
chalo uTho ki abhi manzilen bulati hain
baDhe chalo ki yahi waqt ka taqaza hai
'kanwal' banaenge apne watan ko hum jannat
yahi hai apni tamanna yahi irada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.