nai ummid
kabhī apnī saḳht giraft par
nigāh kar ke dekho
fānūs kī tarah chamaktī
oqiyānus kī tarah lahreñ mārtī
zindagiyāñ le kar
ḳhālī chārpā.iyāñ
aur ḳhālī hujūm lauTā detī ho
tumhāre liye juftiyāñ kar ke
mehnat se chāra tayyār karte haiñ
aur koī shikāyat nahīñ karte
hamāre mazbūt haath
tumhārī miTTī khodte kaañp jaate haiñ
tumhārī mahak
kanpaTī se phisalne vaale
pasīne kī vaj.h se hai
ham khodnā chhoḌ deñ to
andar hī andar gal saḌ jaao
tumheñ apnā biij sauñpte hue
roz raushan hone vaale āsmān kī mānind
ummīd mahsūs karte haiñ
aur ummīd mahsūs karte haiñ ki
agar khodnā chhoḌ deñ to
ek baar ḳhud ko galtā saḌtā dekh leñ
kabhi apni saKHt giraft par
nigah kar ke dekho
fanus ki tarah chamakti
oqiyanus ki tarah lahren marti
zindagiyan le kar
KHali chaarpaiyan
aur KHali hujum lauTa deti ho
tumhaare liye juftiyan kar ke
mehnat se chaara tayyar karte hain
aur koi shikayat nahin karte
hamare mazbut hath
tumhaari miTTi khodte kanp jate hain
tumhaari mahak
kanpaTi se phisalne wale
pasine ki wajh se hai
hum khodna chhoD den to
andar hi andar gal saD jao
tumhein apna bij saunpte hue
roz raushan hone wale aasman ki manind
ummid mahsus karte hain
aur ummid mahsus karte hain ki
agar khodna chhoD den to
ek bar KHud ko galta saDta dekh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.