nairang-e-tasawwur
sahar kā vaqt hai baiThā huuñ maiñ phūloñ kī mahfil meñ
talātum ḳhez hai mauj-tarannum qulzum dil meñ
jhalaktā hai kisī kā husn firdaus-e-nazar ban kar
kisī ke ashk sabze par machalte haiñ guhar ban kar
koī āvāz detā hai mujhe bulbul ke naġhmoñ meñ
uḌātā hai koī merī hañsī chhup chhup ke phūloñ meñ
kisī kī āh-e-sozāñ kā dhuāñ gardūñ pe raqsāñ hai
kisī kā ḳhūn-e-dil rañg-e-shafaq meñ jalva-afshāñ hai
ḳhamoshī ban ke sar-tā-pā koī baiThā hai sausan meñ
suvaidā ban ke pinhāñ hai koī laale ke dāman meñ
koī shāḳhoñ meñ chhup kar mere aage sar jhukātā hai
mujhe apnī taraf shāyad ishāroñ se bulātā hai
koī merī taraf nargis kī mast āñkhoñ se taktā hai
maiñ kyā jānūñ vo in pardoñ meñ kyā kuchh dekh saktā hai
koī zer-e-shajar sāyoñ kī pariyoñ ko nachātā hai
huā hai yā koī dhīme suroñ meñ giit gaatā hai
koī koyal kī kuukū meñ ye āhista se kahtā hai
tujhe jis kī tamannā hai vo tere dil meñ rahtā hai
ġharaz har chiiz meñ hai us ke jalvoñ kī farāvānī
ayaañ hai zarre zarre se usī ke ruḳh kī tābānī
sahar ka waqt hai baiTha hun main phulon ki mahfil mein
talatum KHez hai mauj-tarannum qulzum dil mein
jhalakta hai kisi ka husn firdaus-e-nazar ban kar
kisi ke ashk sabze par machalte hain guhar ban kar
koi aawaz deta hai mujhe bulbul ke naghmon mein
uData hai koi meri hansi chhup chhup ke phulon mein
kisi ki aah-e-sozan ka dhuan gardun pe raqsan hai
kisi ka KHun-e-dil rang-e-shafaq mein jalwa-afshan hai
KHamoshi ban ke sar-ta-pa koi baiTha hai sausan mein
suwaida ban ke pinhan hai koi lale ke daman mein
koi shaKHon mein chhup kar mere aage sar jhukata hai
mujhe apni taraf shayad ishaaron se bulata hai
koi meri taraf nargis ki mast aankhon se takta hai
main kya jaanun wo in pardon mein kya kuchh dekh sakta hai
koi zer-e-shajar sayon ki pariyon ko nachata hai
hua hai ya koi dhime suron mein git gata hai
koi koyal ki kuku mein ye aahista se kahta hai
tujhe jis ki tamanna hai wo tere dil mein rahta hai
gharaz har chiz mein hai us ke jalwon ki farawani
ayan hai zarre zarre se usi ke ruKH ki tabani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.