najat
dukhte hue sīnoñ kī ḳhushbū ke hāthoñ meñ
un jalte ḳhvāboñ ke lahrāte koḌe haiñ
jinheñ vo ik gahnā.e chāñd kī nañgī kamar pe barsātī rahtī hai
tīrgī baḌhtī jaatī hai
aur hamārā chāñd abhī tak aisī kohna-sāl havelī kā qaidī hai
jise havā aur bādal ne tāmīr kiyā hai
jis kī giilī dīvāroñ par mañDhī huī beloñ meñ
aisī khopḌiyāñ khiltī haiñ
jin kī āñkhoñ ke ḳhālī halqoñ meñ maazī haal aur mustaqbil ke
gaD-maD rañgoñ ke be-nūr dhundalke jame hue haiñ
tum hī batāo jab shāḳhoñ se
fāḳhatī niile phūloñ kī bajā.e
khopḌiyāñ phūTeñ
sub.h-e-bahār kā sūraj un se aañkh milā kar kaise zinda rah saktā hai
isī liye to is vīrān havelī ke āñgan meñ ḳhizāñ ke naġhme
zinda insānoñ ke nauhe ban kar gūñjte haiñ
nam-ālūd fazā ke nādīda siine par
sabr kī sil kī tarah ruke hue barfīle sūraj
shaam kī ukhḌī huī chaukhaT par
apne sar ghuTnoñ meñ chhupā kar sochte haiñ
kabhī to sadiyoñ kī āvārgiyoñ kā bojh uThā.e koī musāfir
ism-e-rihā.ī ko zer-e-lab dohrāte hue
is be-rañg havelī ke darvāze par
vo dastak dene aa.egā
khul kar bārish barsegī aur chāñd rihā ho jā.egā
dukhte hue sinon ki KHushbu ke hathon mein
un jalte KHwabon ke lahraate koDe hain
jinhen wo ek gahnae chand ki nangi kamar pe barsati rahti hai
tirgi baDhti jati hai
aur hamara chand abhi tak aisi kohna-sal haweli ka qaidi hai
jise hawa aur baadal ne tamir kiya hai
jis ki gili diwaron par manDhi hui belon mein
aisi khopDiyan khilti hain
jin ki aankhon ke KHali halqon mein mazi haal aur mustaqbil ke
gaD-maD rangon ke be-nur dhundalke jame hue hain
tum hi batao jab shaKHon se
faKHati nile phulon ki bajae
khopDiyan phuTen
subh-e-bahaar ka suraj un se aankh mila kar kaise zinda rah sakta hai
isi liye to is viran haweli ke aangan mein KHizan ke naghme
zinda insanon ke nauhe ban kar gunjte hain
nam-alud faza ke nadida sine par
sabr ki sil ki tarah ruke hue barfile suraj
sham ki ukhDi hui chaukhaT par
apne sar ghuTnon mein chhupa kar sochte hain
kabhi to sadiyon ki aawargiyon ka bojh uThae koi musafir
ism-e-rihai ko zer-e-lab dohraate hue
is be-rang haweli ke darwaze par
wo dastak dene aaega
khul kar barish barsegi aur chand riha ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.