nanha pauda
garche paudā abhī huñ chhoTā sā
aarzū dil meñ hai mire kyā kyā
aa hī jā.egī rut javānī kī
ya.anī mujh par bhī shādmānī kī
Daalī Daalī mirī harī hogī
aur phal phuul se bharī hogī
faiz hogā jahāñ meñ aam mirā
ḳhidmat-e-ḳhalq hogā kaam mirā
saarī chiḌiyoñ ko maiñ bulā.ūñgā
ḳhuub meve unheñ khilā.ūñgā
ghoñsle mujh pe vo banā.eñgī
raag chheḌeñgī chahchahā.eñgī
jo bhī aa.egā un kā karne shikār
mere pattoñ kī dekhegā dīvār
garmiyoñ meñ musāfir ā.eñge
mere saa.e meñ chain pā.eñge
bachche ā.eñge jhūlā jhūleñge
giit gā ke ḳhushī meñ phūleñge
vo chalā.eñge mujh pe jab patthar
is ke badle maiñ in ko dūñgā samar
ek ḳhvāhish hai aur dil meñ baḌī
kaash vo bhī kare ḳhudā puurī
suukh jā.ūñ to lakḌiyoñ se mirī
ḳhūbsūrat sī ik bane kursī
us pe baiThe faqat vahī laḌkā
jis ke sar meñ ho ilm kā saudā
dil meñ apne jo maiñ ne Thānī hai
us kī ye muḳhtasar kahānī hai
maiñ bhī bachcha huuñ tum bhī bachche ho
maiñ bhī sachchā huuñ tum bhī sachche ho
kyā banāyā hai zindagī kā plaan
maiñ to rakhtā huuñ tum se nek gumān
aaj chhoTe ho kal jo hoge javāñ
kaun se kaam tum karoge yahāñ
garche pauda abhi hun chhoTa sa
aarzu dil mein hai mere kya kya
aa hi jaegi rut jawani ki
yani mujh par bhi shadmani ki
Dali Dali meri hari hogi
aur phal phul se bhari hogi
faiz hoga jahan mein aam mera
KHidmat-e-KHalq hoga kaam mera
sari chiDiyon ko main bulaunga
KHub mewe unhen khilaunga
ghonsle mujh pe wo banaengi
rag chheDengi chahchahaengi
jo bhi aaega un ka karne shikar
mere patton ki dekhega diwar
garmiyon mein musafir aaenge
mere sae mein chain paenge
bachche aaenge jhula jhulenge
git ga ke KHushi mein phulenge
wo chalaenge mujh pe jab patthar
is ke badle main in ko dunga samar
ek KHwahish hai aur dil mein baDi
kash wo bhi kare KHuda puri
sukh jaun to lakDiyon se meri
KHubsurat si ek bane kursi
us pe baiThe faqat wahi laDka
jis ke sar mein ho ilm ka sauda
dil mein apne jo main ne Thani hai
us ki ye muKHtasar kahani hai
main bhi bachcha hun tum bhi bachche ho
main bhi sachcha hun tum bhi sachche ho
kya banaya hai zindagi ka plan
main to rakhta hun tum se nek guman
aaj chhoTe ho kal jo hoge jawan
kaun se kaam tum karoge yahan
- Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.