nannhi azra ki ammi se shikayat
ai ammī jaan aa.ī huuñ tere huzūr aaj
ik baat hai jise maiñ kahūñgī zarūr aaj
ye baat soch soch ke rotī rahī huuñ maiñ
aur haar āñsuoñ ke pirotī rahī huuñ maiñ
baajī mujhe sharīr kahe baar baar kyoñ
abbā se aur aap se paḌtī hai maar kyoñ
ik baat pūchhnī hai agar kahiye pūchh luuñ
ammī mujhe sharīr samajhtī haiñ aap kyoñ
nannhī kā laDDū maiñ ne churāyā to kyā huā
khāne hī ke liye thā jo khāyā to kyā huā
is baat par batā.iye bigḌī haiñ aap kyoñ
aur kar ke laal āñkheñ jhiḌaktī haiñ aap kyoñ
ai ammi jaan aai hun tere huzur aaj
ek baat hai jise main kahungi zarur aaj
ye baat soch soch ke roti rahi hun main
aur haar aansuon ke piroti rahi hun main
baji mujhe sharir kahe bar bar kyon
abba se aur aap se paDti hai mar kyon
ek baat puchhni hai agar kahiye puchh lun
ammi mujhe sharir samajhti hain aap kyon
nannhi ka laDDu main ne churaya to kya hua
khane hi ke liye tha jo khaya to kya hua
is baat par bataiye bigDi hain aap kyon
aur kar ke lal aankhen jhiDakti hain aap kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.