nannhi bund
is dafa ke mausam-e-barsāt meñ
ek ThanDī ghup añdherī raat meñ
ek nannhī buuñd āñkheñ mīchtī
hichkichātī aah ThanDī khīñchtī
chhoḌ kar bādal kī godī juuñ chalī
ḳhud se vo ye guftugū karne lagī
ye añdherī raat aur lambā safar
dekhiye hotā hai kyā merā hashar
ain mumkin hai girūñ maiñ phuul par
ye bhī imkāñ hai girūñ maiñ dhuul par
kyā ḳhabar tandūr meñ gir jā.ūñ maiñ
dekhte hī dekhte mar jā.ūñ maiñ
aise andeshoñ ke sañg laḌtī huī
buuñd sāhil par bahr ke aa ga.ī
thī vahāñ par ek siipī muñh khulī
vo usī meñ jā girī motī banī
is dafa ke mausam-e-barsat mein
ek ThanDi ghup andheri raat mein
ek nannhi bund aankhen michti
hichkichati aah ThanDi khinchti
chhoD kar baadal ki godi jun chali
KHud se wo ye guftugu karne lagi
ye andheri raat aur lamba safar
dekhiye hota hai kya mera hashar
ain mumkin hai girun main phul par
ye bhi imkan hai girun main dhul par
kya KHabar tandur mein gir jaun main
dekhte hi dekhte mar jaun main
aise andeshon ke sang laDti hui
bund sahil par bahr ke aa gai
thi wahan par ek sipi munh khuli
wo usi mein ja giri moti bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.