nannhi chiDiya
mere andar
kahīñ chup sī paḌī hai
ek nannhī chiḌiyā
vo ab nahīñ phudaktī
nahīñ chahaktī
na hī bārish meñ
apne par bhigotī hai
Dar kar bijlī se
kisī vasī.a siine meñ
simaTnā nahīñ chāhtī
bas ā.īne meñ
apnī choñch paTaktī hai
jaane kyā kahnā chāhtī hai
mere andar kī
nannhī chiḌiyā
mere andar
kahin chup si paDi hai
ek nannhi chiDiya
wo ab nahin phudakti
nahin chahakti
na hi barish mein
apne par bhigoti hai
Dar kar bijli se
kisi wasia sine mein
simaTna nahin chahti
bas aaine mein
apni chonch paTakti hai
jaane kya kahna chahti hai
mere andar ki
nannhi chiDiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.